کیا کسی رابطے میں رکھا ہے
Aamir Azher (b. 1989)کیا کسی رابطے میں رکھا ہے
ہم نے دل راستے میں رکھا ہے
اب خداؤں کی کیا ضرورت ہے
آئنہ بت کدے میں رکھا ہے
نا تمہاری خطا ہے نا میری
مسئلہ مسئلے میں رکھا ہے
رات رکھی ہے اس نے دن کے بعد
آپ کو فائدے میں رکھا ہے
اس کو انداز ہے تسلسل کا
زلف کو سلسلے میں رکھا ہے
کیا رکھا ہے پرانی چیزوں میں
جو نیا ہے نئے میں رکھا ہے
اگلے وقتوں پہ سوچ کر عامرؔ
وقت کو قاعدے میں رکھا ہے
kya kisi rabte mein rakha hai
ham ne dil raste mein rakha hai
ab khudaon ki kya zarurat hai
aina but kade mein rakha hai
na tumhari khata hai na meri
masala masale mein rakha hai
rat rakhi hai us ne din ke baad
ap ko faide mein rakha hai
us ko andaz hai tasalsul ka
zulf ko silsile mein rakha hai
kya rakha hai purani chizon mein
jo naya hai nae mein rakha hai
agle waqton pe soch kar amir
waqt ko qaide mein rakha hai