Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Zafar Akbarabadi

Poems

Meter
  1. phire haiñ dhun meñ tirī ham idhar idhar tanhātujhe talāsh kyā hai nagar nagar tanhā
  2. thī mere dil kī pyās tapish dasht kī na thībujhtī samundaroñ se ye vo tishnagī na thī
  3. duniyā mizāj dān-o-mizāj āshnā na thīduniyā ke pās zahr bahut thā davā na thī
  4. sharīk-e-hāl jab nākāmī-e-tadbīr hotī haito phir vahshat asar har ḳhvāb kī ta.abīr hotī hai
  5. kabhī use to kabhī ḳhud ko dekhte rahnāisī madār meñ din rāt ghūmte rahnā
  6. kuchh aise jazba-e-tahqīr se zamāna milāke us se apnā ye ḳhuddār dil zarā na milā
  7. kisī kī purshash-e-ġham bār ho ga.ī hogītamām dukh hama āzār ho ga.ī hogī
  8. mā.il ba dostī vo kidhar hai kidhar nahīñallāh jāntā hai mujhe kuchh ḳhabar nahīñ
  9. mujhe ḳhadsha hai apnī chashm-e-tar sekahīñ pānī guzar jā.e na sar se
  10. har qadam par ik nayā dukh ḳhair ḳhvāhoñ se milākab hameñ koī tahaffuz in panāhoñ se milā
  11. hazār sub.h ne kirnoñ ke jāl phailā.emagar simaṭ na sake rāt ke ghane sā.e
  12. ham us ke dhyān meñ ā.eñge dhyān meñ bhī na thāyaqīñ kā zikr to kyā hai gumān meñ bhī na thā
  13. hai to koshish yahī dil dasht-e-tamannā na banephir bhī bantā hai jo vīrāna to vīrāna bane