Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Yasir Rampuri

b. 1996

Poems

Meter
  1. taṛap aisī ke bas din rāt āheñ bharte jāte haiñtumhāre ishq meñ be maut āshiq marte jāte haiñ
  2. jīne kī thī jo dil meñ tamannā vo mar ga.ītum kyā ga.e ke ishq kī duniyā bikhar ga.ī
  3. rū-e-raushan kī tāb ne mārāik nikharte gulāb ne mārā
  4. zahe qismat ke qāsid yār kā le kar payām āyāmagar afsos sad afsos vaqt-e-iḳhtitām āyā
  5. surḳh ruḳhsār hasīñ honṭ ġhazālī ānkheñchānd chehre pe qayāmat haiñ ye kālī ānkheñ
  6. sharāb noshī hai din rāt shaġhl-e-bāda haitabāh karne kā ḳhud ko mirā irāda hai
  7. kuchh is adā se yār ne joṛe ko bal diyādam bhar ko do jahān kā naqsha badal diyā
  8. marzī-e-yār pe har ek ḳhushī vār chalejo kuchh apnā thā vo sab ishq meñ ham hār chale
  9. na hogā soz-e-dil shāyad kisī sūrat bhī kam merāmujhe āzād kar ab zindagī ghaṭṭā hai dam merā