Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Taashshuq Lakhnavi

تعشق لکھنوی

1824–1892

Poems

Meter
  1. apnī farhat ke din ai yār chale āte haiñkaifiyat par gul ruḳhsār chale āte haiñ
  2. uns hai ḳhāna-e-sayyād se gulshan kaisānāz parvard-e-qafas hūñ maiñ nasheman kaisā
  3. bāġh meñ phūloñ ko raund ā.ī savārī āp kīkis qadar mamnūn hai bād-e-bahārī āp kī
  4. tā sahar kī hai fuġhāñ jān ke ġhāfil mujh korāt bhar āj pukārā hai mirā dil mujh ko
  5. josh par thīñ sifat-e-abr-e-bahārī ānkheñba ga.īñ ānsūoñ ke sāth hamārī ānkheñ
  6. dil jal ke rah ga.e zaqan-e-rashk-e-māh paris qāfila ko pyās ne mārā hai chāh par
  7. do damoñ se hai faqat gor-e-ġharībāñ ābādtum hamesha raho ai hasrat-o-armāñ ābād
  8. sū-e-dariyā ḳhanda zan vo yār jānī phir gayāmotiyoñ kī ābrū par āj pānī phir gayā
  9. kab apnī ḳhushī se vo ā.e hue haiñmire jazb-e-dil ke bulā.e hue haiñ
  10. mahfil se uṭhāne ke sazā vār hameñ thesab phūl tire bāġh the ik ḳhār hameñ the
  11. muñh jo furqat meñ zard rahtā haikuchh kaleja meñ dard rahtā hai
  12. na ḍare barq se dil kī hai kaṛī merī ānkhus kī zanjīr-e-tilā.ī se laṛī merī ānkh
  13. yād-e-ayyām ke ham rutba-e-rizvāñ ham thebāġhbān-e-chaman mahfil jānāñ ham the
  14. āmad āmad hai ḳhizāñ kī jāne vālī hai bahārrote haiñ gul zār ke dar bāġhbāñ khole hue
  15. baṛhte baṛhte ātish-e-ruḳhsār lo dene lagīrafta rafta kān ke motī sharāre ho ga.e
  16. bahut muzir dil-e-āshiq ko āh hotī haiisī havā se ye kashtī tabāh hotī hai
  17. tamām umr kamī kī kabhī na pānī neajab karīm kī rahmat hai dīda-e-tar par
  18. jalūñgā meñ ke dil us but kā ġhair par āyāuṛegī āg ke patthar girā hai patthar par
  19. charāġh-e-dāġh meñ din se jalā.e baiṭhā hūñsunā hai jo shab-e-furqat siyāh hotī hai
  20. صاف دیکھا ہے کہ غنچوں نے لہو تھوکا ہےموسم گل میں الٰہی کوئی دلگیر نہ ہو
  21. gayā shabāb par itnā rahā ta.alluq ishqdil-o-jigar meñ tapak gāh gāh hotī hai
  22. mujh se kyā pūchhte ho dāġh haiñ dil meñ kitnetum ko ayyām-e-judā.ī kā shumār ātā hai
  23. mujh se lākhoñ ḳhāk ke putle banā saktā hai tūmaiñ kahāñ se ek terā sā ḳhudā paidā karūñ
  24. mujhe hai fikr-e-ḳhat bhejā hai jab se us gul-e-tar kohazāroñ bulbuleñ rokeñgī rassī meñ kabūtar ko
  25. muntazir tere haiñ chashm-e-ḳhūñ fishāñ khole huebaiṭhe haiñ dil bechne vāle dukāñ khole hue
  26. mauj-e-dariyā se balā kī chāhiye kashtī mujheho jo bilkul nā mūāfiq vo huā paidā karūñ
  27. maiñ bāġh meñ hūñ tālib-e-dīdār kisī kāgul par hai nazar dhyān meñ ruḳhsār kisī kā
  28. najd se jānib lailā jo huā ātī haidil-e-majnūñ ke dhaṛakne kī sadā ātī hai
  29. vo intihā ke haiñ nāzuk meñ saḳht jāñ hūñ kamālajab tarah kī musībat paṛī hai ḳhanjar par
  30. vo khaṛe kahte haiñ merī lāsh parham to sunte the ke nīnd ātī nahīñ