Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Taashshuq Lakhnavi

تعشق لکھنوی

1824–1892

Poems

Meter
  1. apnī farhat ke din ai yār chale āte haiñkaifiyat par gul ruḳhsār chale āte haiñ
  2. uns hai ḳhāna-e-sayyād se gulshan kaisānāz parvard-e-qafas hūñ maiñ nasheman kaisā
  3. bāġh meñ phūloñ ko raund ā.ī savārī āp kīkis qadar mamnūn hai bād-e-bahārī āp kī
  4. tā sahar kī hai fuġhāñ jān ke ġhāfil mujh korāt bhar āj pukārā hai mirā dil mujh ko
  5. josh par thīñ sifat-e-abr-e-bahārī ānkheñba ga.īñ ānsūoñ ke sāth hamārī ānkheñ
  6. dil jal ke rah ga.e zaqan-e-rashk-e-māh paris qāfila ko pyās ne mārā hai chāh par
  7. do damoñ se hai faqat gor-e-ġharībāñ ābādtum hamesha raho ai hasrat-o-armāñ ābād
  8. sū-e-dariyā ḳhanda zan vo yār jānī phir gayāmotiyoñ kī ābrū par āj pānī phir gayā
  9. kab apnī ḳhushī se vo ā.e hue haiñmire jazb-e-dil ke bulā.e hue haiñ
  10. mahfil se uṭhāne ke sazā vār hameñ thesab phūl tire bāġh the ik ḳhār hameñ the
  11. muñh jo furqat meñ zard rahtā haikuchh kaleja meñ dard rahtā hai
  12. na ḍare barq se dil kī hai kaṛī merī ānkhus kī zanjīr-e-tilā.ī se laṛī merī ānkh
  13. yād-e-ayyām ke ham rutba-e-rizvāñ ham thebāġhbān-e-chaman mahfil jānāñ ham the