منہ جو فرقت میں زرد رہتا ہے
Taashshuq Lakhnavi (1824–1892)منہ جو فرقت میں زرد رہتا ہے
کچھ کلیجہ میں درد رہتا ہے
تھی کبھی رشک مہر کے عاشق
دھوپ کا رنگ زرد رہتا ہے
کس کے سنتے ہو رات کو نالے
کہتے ہو سر میں درد رہتا ہے
کبھی پوچھا نہ میرے کوچہ میں
کون صحرا نورد رہتا ہے
شور ہے زرد آئی ہے آندھی
کیا مرا رنگ زرد رہتا ہے
یاد آتی ہیں گرمیاں تیری
دل ہمارا بھی سرد رہتا ہے
کہتے ہو تجھ کو دیکھتے ہیں ہم
بندہ صحرا نورد رہتا ہے
جس طرف بیٹھتے تھے وصل میں آپ
اسی پہلو میں درد رہتا ہے
کہتے ہیں دل کی چوٹ کا ہے فساد
منہ تعشقؔ جو زرد رہتا ہے
munh jo furqat mein zard rahta hai
kuchh kaleja mein dard rahta hai
thi kabhi rashk-e-mehr ke ashiq
dhup ka rang-e-zard rahta hai
kis ke sunte ho rat ko nale
kahte ho sar mein dard rahta hai
kabhi puchha na mere kucha mein
kaun sahra naward rahta hai
shor hai zard ai hai andhi
kya mira rang-e-zard rahta hai
yad ati hain garmiyan teri
dil hamara bhi sard rahta hai
kahte ho tujh ko dekhte hain ham
banda sahra naward rahta hai
jis taraf baithte the wasl mein ap
isi pahlu mein dard rahta hai
kahte hain dil ki chot ka hai fasad
munh taashshuq jo zard rahta hai