Poet
Taashshuq Lakhnavi
تعشق لکھنوی1824–1892
Poems
- آمد آمد ہے خزاں کی جانے والی ہے بہارروتے ہیں گل زار کے در باغباں کھولے ہوئےāmad āmad hai ḳhizāñ kī jāne vālī hai bahārrote haiñ gul zār ke dar bāġhbāñ khole hue
- بڑھتے بڑھتے آتش رخسار لو دینے لگیرفتہ رفتہ کان کے موتی شرارے ہو گئےbaṛhte baṛhte ātish-e-ruḳhsār lo dene lagīrafta rafta kān ke motī sharāre ho ga.e
- بہت مضر دل عاشق کو آہ ہوتی ہےاسی ہوا سے یہ کشتی تباہ ہوتی ہےbahut muzir dil-e-āshiq ko āh hotī haiisī havā se ye kashtī tabāh hotī hai
- تمام عمر کمی کی کبھی نہ پانی نےعجب کریم کی رحمت ہے دیدۂ تر پرtamām umr kamī kī kabhī na pānī neajab karīm kī rahmat hai dīda-e-tar par
- جلوں گا میں کہ دل اس بت کا غیر پر آیااڑے گی آگ کہ پتھر گرا ہے پتھر پرjalūñgā meñ ke dil us but kā ġhair par āyāuṛegī āg ke patthar girā hai patthar par
- چراغ داغ میں دن سے جلائے بیٹھا ہوںسنا ہے جو شب فرقت سیاہ ہوتی ہےcharāġh-e-dāġh meñ din se jalā.e baiṭhā hūñsunā hai jo shab-e-furqat siyāh hotī hai
- صاف دیکھا ہے کہ غنچوں نے لہو تھوکا ہےموسم گل میں الٰہی کوئی دلگیر نہ ہو
- گیا شباب پر اتنا رہا تعلق عشقدل و جگر میں تپک گاہ گاہ ہوتی ہےgayā shabāb par itnā rahā ta.alluq ishqdil-o-jigar meñ tapak gāh gāh hotī hai
- مجھ سے کیا پوچھتے ہو داغ ہیں دل میں کتنےتم کو ایام جدائی کا شمار آتا ہےmujh se kyā pūchhte ho dāġh haiñ dil meñ kitnetum ko ayyām-e-judā.ī kā shumār ātā hai
- مجھ سے لاکھوں خاک کے پتلے بنا سکتا ہے تومیں کہاں سے ایک تیرا سا خدا پیدا کروںmujh se lākhoñ ḳhāk ke putle banā saktā hai tūmaiñ kahāñ se ek terā sā ḳhudā paidā karūñ
- مجھے ہے فکر خط بھیجا ہے جب سے اس گل تر کوہزاروں بلبلیں روکیں گی رسی میں کبوتر کوmujhe hai fikr-e-ḳhat bhejā hai jab se us gul-e-tar kohazāroñ bulbuleñ rokeñgī rassī meñ kabūtar ko
- منتظر تیرے ہیں چشم خوں فشاں کھولے ہوئےبیٹھے ہیں دل بیچنے والے دکاں کھولے ہوئےmuntazir tere haiñ chashm-e-ḳhūñ fishāñ khole huebaiṭhe haiñ dil bechne vāle dukāñ khole hue
- موج دریا سے بلا کی چاہئے کشتی مجھےہو جو بالکل نا موافق وہ ہوا پیدا کروںmauj-e-dariyā se balā kī chāhiye kashtī mujheho jo bilkul nā mūāfiq vo huā paidā karūñ
- میں باغ میں ہوں طالب دیدار کسی کاگل پر ہے نظر دھیان میں رخسار کسی کاmaiñ bāġh meñ hūñ tālib-e-dīdār kisī kāgul par hai nazar dhyān meñ ruḳhsār kisī kā
- نجد سے جانب لیلیٰ جو ہوا آتی ہےدل مجنوں کے دھڑکنے کی صدا آتی ہےnajd se jānib lailā jo huā ātī haidil-e-majnūñ ke dhaṛakne kī sadā ātī hai
- وہ انتہا کے ہیں نازک میں سخت جاں ہوں کمالعجب طرح کی مصیبت پڑی ہے خنجر پرvo intihā ke haiñ nāzuk meñ saḳht jāñ hūñ kamālajab tarah kī musībat paṛī hai ḳhanjar par
- وہ کھڑے کہتے ہیں میری لاش پرہم تو سنتے تھے کہ نیند آتی نہیںvo khaṛe kahte haiñ merī lāsh parham to sunte the ke nīnd ātī nahīñ