Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

قربان علی سالک بیگ

Poems

Meter
  1. āñ se zālim kā imtihāñ aur maiñye sitam tere āsmāñ aur maiñ
  2. ab to lab se na jā.egā āgenāle kā zor shor thā āge
  3. achchhī nibhī butān-e-sitam āshnā ke sāthab ba.ad-e-marg dekhiye kyā ho ḳhudā ke sāth
  4. intihā sabr āzmā.ī kīhai darāzī-e-shab judā.ī kī
  5. insān havas pesha se kyā ho nahīñ saktāmajbūr hai us se ke ḳhudā ho nahīñ saktā
  6. bhūl kar bhī idhar nahīñ ātāvo kabhī rāh par nahīñ ātā
  7. jo bhar leñ ek chuṭkī sāhab-e-tāsīr miṭṭī kīabhī sharminda-e-tāsīr ho iksīr miṭṭī kī
  8. jī hech jān hech na dil ne jigar azīzsab se sivā hai vasl tirā fitna gar azīz
  9. chāk-e-jigar-o-dil kā jab shikva bajā hotāyūsuf kā zuleḳhā ne dāman to siyā hotā
  10. ḳhayāl guzre kahāñ kahāñ kā irāda un ko ho gar yahīñ kāna kuchh ṭhikānā mire gumāñ kā na kuchh ṭhikānā mire yaqīñ kā
  11. dil pe āfat ā.ī ab ik ān meñzulf kuchh kahtī hai us ke kān meñ
  12. dil jahāñ se uṭhā.e baiṭhe haiñsab ko dekhe dikhā.e baiṭhe haiñ
  13. dil mohabbat makān hai goyāārzū kā jahān hai goyā
  14. dil vo shai hai ke jo dekhe to khiche yār ke sāthye dukāñ vo hai ke chaltī hai ḳharīdār ke sāth
  15. dair-o-ka.aba ko rah guzar samjhedil ko jo koī terā ghar samjhe
  16. rakho vo sheva na mad-e-nazar nazar meñ raheke jis se rāz-e-mohabbat bashar bashar meñ rahe
  17. kab hai manzūr ke yūñ jins-e-dil-e-zār bikepar ye vo shai hai na bechūñ bhī to sau bār bike
  18. kuchh mujhe kah ke na kahvā.iye āpbas zabāñ merī na khulvā.iye āp
  19. lutf meñ vāñ ḍhang hai bedād kākām de ai ḳhāmushī fariyād kā
  20. mujh par aisī jafā kī kasrat kīke use ġhair ne malāmat kī
  21. mirī ḳhātir meñ sāqī kab tirā paimāna ātā haike yāñ har dam-e-ḳhayāl nargis-e-mastāna ātā hai
  22. muztarib hūñ ab ye jī kī bāt haiafv kīje be ḳhudī kī bāt hai
  23. milī na fursat jahāñ ho ġhash se uṭhī jo kuchh bhī naqāb-e-ārizmagar samajhte nahīñ abhī tak tum apnā jalva hijāb-e-āriz
  24. maiñ huā zīnat-e-makān-e-qafasdūd afġhāñ hai sā.ibān qafas
  25. nālāñ nahīñ kuchh tire sitam paraisī hī banī hai apne dam par
  26. vā.iz milegī ḳhuld meñ kab is qadar sharābpānī ke badle pīte haiñ ai be ḳhabar sharāb
  27. vo zeb-e-shabistāñ huā chāhtā haiye majma.a pareshāñ huā chāhtā hai
  28. hāth meñ le ke na ḳhanjar baiṭhiyeqatl karnā hai to bas kar baiṭhiye
  29. hazār va.ade kiye haiñ tum ne kabhī kisī ko vafā na karnāchalo usī par jo ġhair kah deñ kahīñ hamārā kahā na karnā
  30. ye kyā lutf shor-e-fuġhāñ rah gayāzamīñ rah ga.ī āsmāñ rah gayā
  31. uṭhe āj un se faisla kar keyā ḳhafā ho ke yā ḳhafā kar ke
  32. jis qadar zabt kiyā aur bhī ronā āyāye tabī.at nahīñ ā.ī koī dariyā āyā
  33. girah lab pe jo mudda.ā ho gayāvo dil meñ mire ābla ho gayā
  34. yūñ ayāñ tujh ko dekhte haiñ hamke nihāñ tujh ko dekhte haiñ ham