Poet
Qaem Chandpuri
قائم چاندپوری1722–1793
Poems
- کبھو دکھا کے کمر اور کبھو دہاں مجھ کوبہت بتنگ کیا تو نے اے میاں مجھ کوkabhū dikhā ke kamar aur kabhū dahāñ mujh kobahut batang kyā tū ne ai miyāñ mujh ko
- کدھر ابرو کی اس کے دھاک نہیںکون اس تیغ کا ہلاک نہیںkidhar abrū kī us ke dhāk nahīñkaun is teġh kā halāk nahīñ
- کر امتحاں ٹک ہو کے تو خونخوار یک طرفمیں آج یک طرف ہوں ترے یار یک طرفkar imtihāñ ṭuk ho ke to ḳhūñḳhvār yak tarafmaiñ āj yak taraf hūñ tire yār yak taraf
- کل اے آشوب نالہ آج نہیںآج ہنگامہ پر مزاج نہیںkal ai āshob-e-nāla āj nahīñāj hangāma par mizāj nahīñ
- کون سا دن کہ مجھے اس سے ملاقات نہیںلیک جی چاہے ہے جوں ملنے کو وہ بات نہیںkaun sā din ke mujhe us se mulāqāt nahīñlek jī chāhe hai jūñ milne ko vo bāt nahīñ
- کیا میں کیا اعتبار میراخواری بس افتخار میراkyā maiñ kiyā etibār merāḳhvārī bas iftiḳhār merā
- گو بہ نام اک زبان رکھتی ہے شمعکب ترا سا بیان رکھتی ہے شمعgo ba nām ik zabān rakhtī hai sham.akab tirā sā bayān rakhtī hai sham.a
- گو یاں نہ کسی کو آئے افسوسحالت تو ہے اپنی جائے افسوسgo yāñ na kisī ko ā.e afsoshālat to hai apnī jā.e afsos
- گہ پیر شیخ گاہ مرید مغاں رہےاب تک تو آبرو سے نبھی ہے جہاں رہےgah pīr shaiḳh gāh murīd-e-muġhāñ raheab tak to ābrū se nibhī hai jahāñ rahe
- لائق وفا کے خلق و سزائے جفا ہوں میںجتنے ہیں یاں سو نیک ہیں جو کچھ برا ہوں میںlā.iq vafā ke ḳhalq-o-sazā-e-jafā hūñ maiñjitne haiñ yāñ so nek haiñ jo kuchh burā hūñ maiñ
- لے چکو دل جو نگہ کو تو یہ دشوار نہیںلیک تم دیکھتے پھرتے ہو خریدار نہیںle chuko dil jo nigah ko to ye dushvār nahīñlek tum dekhte phirte ho ḳharīdār nahīñ
- مانگے ہے ترے ملنے کو بے طرح سے دل آجکل کیا ہے جو ملنا ہے مری جان تو مل آجmāñge hai tire milne ko be tarah se dil ājkal kyā hai jo milnā hai mirī jān to mil āj
- محتسب سے صلاح کیجئے گامے کو چندے مباح کیجئے گاmohtasib se salāh kījiye gāmai ko chande mubāh kījiye gā
- معلوم کچھ ہوا ہی نہ دل کا اثر کہیںایسا گیا کہ پھیر نہ پائی خبر کہیںma.alūm kuchh huā hī na dil kā asar kahīñaisā gayā ke pher na pā.ī ḳhabar kahīñ
- میں خوب اہل جہاں دیکھے اور جہاں دیکھاپر آشنا کوئی دیکھا نہ مہرباں دیکھاmaiñ ḳhūb ahl-e-jahāñ dekhe aur jahāñ dekhāpar āshnā koī dekhā na mehrbāñ dekhā
- میں نہ وہ ہوں کہ تنک غصہ میں ٹل جاؤں گاہنس کے تم بات کرو گے میں بہل جاؤں گاmaiñ na vo hūñ ke tunuk ġhussa meñ ṭal jā.ūñgāhañs ke tum bāt karoge meñ bahal jā.ūñgā
- ناصحا کر نہ اسے سی کے پشیماں مجھ کوکتنے ہی چاک ابھی کرنے ہیں گریباں مجھ کوnās.hā kar na use sī ke pashemāñ mujh kokitne hī chāk abhī karne haiñ garebāñ mujh ko
- نگاہوں سے نگاہیں سامنے ہوتے ہی جب لڑیاںیکایک کھل گئیں دونوں طرف سے دل کی کلجھڑیاںnigāhoñ se nigāheñ sāmne hote hī jab laṛiyāñyakāyak khul ga.īñ donoñ taraf se dil kī kaljhaṛiyāñ
- نہ بیم غم ہے نے شادی کی ہم امید کرتے ہیںقلندر ہیں جو پیش آ جائے سب کچھ دید کرتے ہیںna bīm-e-ġham hai ne shādī kī ham ummīd karte haiñqalandar haiñ jo pesh ā jā.e sab kuchh dīd karte haiñ
- نہ پوچھ گریۂ خوں کا ترے ہے کیا باعثسبب تو اور نہیں کچھ مگر ترا باعثna pūchh girya-e-ḳhūñ kā tire hai kyā bā.issabab to aur nahīñ kuchh magar tirā bā.is
- نہ پوچھو کہ قائمؔ کا کیا حال ہےکچھ اک ڈھیر ہڈیوں کا یا کھال ہےna pūchho ke qā.im kā kyā hāl haikuchh ik ḍher haḍḍiyoñ kā yā khāl hai
- نہ دل بھرا ہے نہ اب نم رہا ہے آنکھوں میںکبھو جو روئے تھے خوں جم رہا ہے آنکھوں میںna dil bharā hai na ab nam rahā hai ānkhoñ meñkabhū jo roe the ḳhūñ jam rahā hai ānkhoñ meñ
- نہ کہہ کہ بے اثر انفاس سرد ہوتے ہیںمجھی سے کیا کوئی سب اہل درد ہوتے ہیںna kah ke be asar anfās sard hote haiñmujhī se kyā koī sab ahl-e-dard hote haiñ
- نہیں بند قبا میں تن ہماراہے عریانی ہی پیراہن ہماراnahīñ band-e-qabā meñ tan hamārāhai uryānī hī pairāhan hamārā
- واشد کی دل کے اور کوئی راہ ہی نہیںجز یہ کہ آہ کیجئے سو آہ ہی نہیںvāshud kī dil ke aur koī rāh hī nahīñjuz ye ke āh kījiye so āh hī nahīñ
- ہر اک صورت میں تجھ کو جانتے ہیںہم اس بہروپ کو پہچانتے ہیںhar ik sūrat meñ tujh ko jānte haiñham is bahrūp ko pahchānte haiñ
- ہر چند دکھ دہی سے زمانے کو عشق ہےلیکن مرے بھی تاب کے لانے کو عشق ہےhar chand dukh dahī se zamāne ko ishq hailekin mire bhī tāb ke lāne ko ishq hai
- ہم ہیں جنہوں نے نام چمن بو نہیں کیاآئی صبا جدھر سے ادھر رو نہیں کیاham haiñ jinhoñ ne nām chaman bū nahīñ kiyāā.ī sabā jidhar se idhar ro nahīñ kiyā
- ہو گر ایسے ہی مری شکل سے بیزار بہتتم سلامت رہو بندے کے خریدار بہتho gar aise hī mirī shakl se bezār bahuttum salāmat raho bande ke ḳharīdār bahut
- ہے بے اثر ایسی ہی جو اپنی کشش دلجی لے ہی کے چھوڑے گی یہ اک دن خلش دلhai be asar aisī hī jo apnī kashish-e-diljī le hī ke chhoṛegī ye ik din ḳhalish-e-dil
- یاں سدا نیش بلا وقف جگر ریشی ہےکیجے کیا جان مری عالم درویشی ہےyāñ sadā nesh-e-balā vaqf-e-jigar rīshī haikīje kyā jān mirī ālam-e-darveshī hai
- یوں تو دنیا میں ہر اک کام کے استاد ہیں شیخپر جو کچھ آپ میں فن ہیں وہ کسے یاد ہیں شیخyūñ to duniyā meñ har ik kām ke ustād haiñ shaiḳhpar jo kuchh āp meñ fan haiñ vo kise yād haiñ shaiḳh
- یوں ہی رنجش ہو اور گلا بھی یوں ہیہو جے ہر بات پر خفا بھی یوں ہیyūñ hī ranjish ho aur gilā bhī yūñ hīho jai har bāt par ḳhafā bhī yūñ hī
- درد پی لیتے ہیں اور داغ پچا جاتے ہیںیاں بلانوش ہیں جو آئے چڑھا جاتے ہیںdard pī lete haiñ aur dāġh pachā jāte haiñyāñ balānosh haiñ jo ā.e chaṛhā jāte haiñ
- مرا جی گو تجھے پیارا نہیں ہےپر اتنا بھی تو ناکارا نہیں ہےmirā jī go tujhe pyārā nahīñ haipar itnā bhī to nākārā nahīñ hai
- واقف نہیں ہم کہ کیا ہے بہترجز یہ کہ تری رضا ہے بہترvāqif nahīñ ham ke kyā hai behtarjuz ye ke tirī razā hai behtar
- ہم موئے پھرتے ہیں اور خواہش جاں ہے اس کواب تلک بھی وہی جینے کا گماں ہے اس کوham mū-e-phirte haiñ aur ḳhvāhish-e-jāñ hai us koab talak bhī vahī jīne kā gumāñ hai us ko