Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Naji Shakir

ناجی شاکر

Poems

Meter
  1. ai sabā kah bahār kī bāteñus but-e-gul izār kī bāteñ
  2. tere bhā.ī ko chāhā ab terī kartā hūñ pā bosīmujhe sartāj kar rakh jān meñ āshiq hūñ maurūsī
  3. dil kā khoj na pāyā hargiz dekhā khol jo qabroñ kojīte jī ḍhūñḍe so pāve ḳhabar karo be ḳhabroñ ko
  4. dekh mohan tirī kamar kī tarafphir gayā mānī apne ghar kī taraf
  5. dekhī bahār ham ne kal zor mai kade meñhañsne sīñ os sajan ke thā shor-e-mai kade meñ
  6. zikr har sub.h-o-shām hai terāvird-e-āshiq kūñ nām hai terā
  7. kamar kī bāt sunte haiñ ye kuchh pā.ī nahīñ jātīkahe haiñ bāt aisī ḳhayāl meñ mere nahīñ ātī
  8. lab-e-shīrīñ hai misrī yūsuf-e-sānī hai ye laṛkāna chhoṛegā merā dil chāh-e-kanānī hai ye laṛkā
  9. mah ruḳhāñ kī jo mehrbānī haiye madad mujh pe āsmānī hai
  10. ye daur guzrā kabhī na dekheñ piyā kī ankhiyāñ ḳhumār matiyāñkahe the mardum sharābī un kūñ nikal ga.īñ apnī de ġhalatiyāñ