Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Naeem Sameer

Poems

Meter
  1. aur terī to kisī bāt se inkār nahīñvo jo har bār huā hai vahī is bār nahīñ
  2. aisā to yahāñ kuchh bhī nahīñ had-e-nazar takham ko to pahuñchnā thā kisī ḳhvāb nagar tak
  3. bistar-e-karb pe jab nīnd jalā.ī maiñ netab kisī ḳhvāb kī buniyād uṭhā.ī maiñ ne
  4. bahut shādāb ho lekin bayābānī nahīñ jātīke bām-e-auj chhūne se bhī arzānī nahīñ jātī
  5. tāvīl ahd-e-fan hī to vahshat kā hal nahīñpesh-e-nazar junūn hai yāro ġhazal nahīñ
  6. jo kuchh dekhā aur samjhā hai nazr-e-lauh-o-qalam kartā hūñya.anī chashm-e-hairat par maiñ sachche ḳhvāb raqam kartā hūñ
  7. ḳhāmushī ke batn se ye guftnī paidā huīmaiñ bazāhir chup huā aur shāyarī paidā huī
  8. zāt meñ maujūd maujoñ kī ravānī se uṭhāzindagī kā lutf tarz-e-zindagānī se uṭhā
  9. qissa in dinoñ kā hai jab hameñ mohabbat thīḳhvāb ik muamma thā nīnd ik aziyyat thī
  10. kuchh dil nashīñ yādeñ bhī haiñ kuchh dard kā rishta bhī haimaiñ kis tarah bhūlūñ use vo umr kā hissa bhī hai