Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Insha Allah Khan Insha

انشاء اللہ خان انشا

1752–1817

Poems

Meter
  1. lo faqīroñ kī duā har tarah ābād rahoḳhud raho maujeñ karo tāze raho shād raho
  2. mujhe chheṛne ko sāqī ne diyā jo jām ulṭāto kiyā bahak ke maiñ ne use ik salām ulṭā
  3. mil ḳhūn-e-jigar merā hāthoñ se hinā samjhemaiñ aur to kiyā kosoñ par tum se ḳhudā samjhe
  4. mil ga.e par hijāb bāqī haifikr-e-nāz-o-itāb bāqī hai
  5. miyāñ chashm-e-jādū pe itnā ghamanḍḳhat-o-ḳhāl-o-gesū pe itnā ghamanḍ
  6. nādāñ kahāñ tarab kā saranjām aur ishqkuchh bhī tujhe shuūr hai ārām aur ishq
  7. na to kām rakhiye shikār se na to dil lagā.iye sair sebas ab āge hazrat-e-ishq jī chale jā.iye ghar hī ko ḳhair se
  8. nīnd mastoñ ko kahāñ aur kidhar kā takiyaḳhisht-e-ḳham ḳhāna hai yāñ apne to sar kā takiya
  9. vo parī hī nahīñ kuchh ho ke kaṛī mujh se laṛīānkh nargis se bhī do chār ghaṛī mujh se laṛī
  10. vo jo shaḳhs apne hī tāṛ meñ so chhupā hai dil hī kī āṛ meñna vo bastī meñ na ujāṛ meñ na vo jhāṛ meñ na pahāṛ meñ
  11. vo dekhā ḳhvāb qāsir jis se hai apnī zabāñ aur hamke goyā ek jā hai is meñ hai vo naujavāñ aur ham
  12. haiñ jo muravvij mehr-o-vafā ke sab sar rishte bhūl ga.ephir ga.e tum to qaul-o-qasam se apne naushite bhūl ga.e
  13. hai tirā gāl māl bose kākyūñ na kīje savāl bose kā
  14. hai jis meñ qufl ḳhāna-e-ḳhumār toṛiyeya.anī dar bahisht ko yakbār toṛiye
  15. hai mujh ko rabt baske ġhazālān ram ke sāthchauñkūñ hūñ dekh sā.e ko apne qadam ke sāth
  16. yās-o-ummīd-o-shādī-o-ġham ne dhūm uṭhā.ī sīna meñḳhūb mujhe hai āj dhamā dham mār kaṭā.ī sīna meñ
  17. yāñ zaḳhmī-e-nigāh ke jīne pe harf haihai dil par apne zaḳhm ke sīne pe harf hai
  18. yā vasl meñ rakhiye mujhe yā apnī havas meñjo chāhiye so kījiye hūñ āp ke bas meñ
  19. ye kyā ke un ke dil ko na zinhār toṛiyesau bār jā ke joṛiye sau bār toṛiye
  20. ye nahīñ barq ik farangī haira.ad-o-bārāñ fusūn-e-jangī hai
  21. ashk mizhgān tar kī pūnjī haiye samar is shajar kī pūnjī hai
  22. pakṛī kisī se jāve nasīm aur sabā bandhemolī kare kuchh apnī bhī ab to huā bandhe
  23. tark kar apne nang-o-nām ko hamjāte haiñ vāñ faqat salām ko ham
  24. jāṛe meñ kyā maza ho vo to simaṭ rahe hūñaur khol kar rizā.ī ham bhī lipaṭ rahe hūñ
  25. chāhtā hūñ tujhe nabī kī qismhazrat-e-murtazā alī kī qasam
  26. dhūm itnī tire dīvāne machā sakte haiñke abhī arsh ko chāheñ to hilā sakte haiñ
  27. mujhe kyūñ na āve sāqī nazar āftāb ulṭāke paṛā hai āj ḳham meñ qadah-e-sharāb ulṭā
  28. mil mujh se ai parī tujhe qurān kī qasamdetā hūñ tujh ko taḳht-e-sulaimān kī qasam
  29. ye jo mujh se aur junūñ se yāñ baṛī jang hotī hai der seso kuchh aisī ḍhab se laṛā.ī hai laṛe sher jaise ke sher se
  30. ye kis se chāndnī meñ ham ba zer-e-āsmāñ lipṭeke bāham arsh par māre ḳhushī ke qudsiyāñ lipṭe