Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

اشرف علی فغاں

Poems

Meter
  1. uṭh chukā dil mirā zamāne seuṛ gayā murġh-e-āshiyāne se
  2. is jaur-o-jafā se tire zinhār na ṭūṭeye dil to kisī tarah se ai yār na ṭūṭe
  3. agar āshiq koī paidā na hotātū ma.ashūqoñ kā ye charchā na hotā
  4. ai tajallī kyā huā sheva tirī takrār kāmar gayā āḳhir ko ye tālib tire dīdār kā
  5. baske dīdār tirā jalva-e-quddūsī haidāman-e-vasl bhī ālūda-e-māyūsī hai
  6. bahār ā.ī hai sote ko ṭuk jagā denājunūñ zarā mirī zanjīr ko hilā denā
  7. haif dil meñ tire vafā na huīkyūñ tirī chashm meñ hayā na huī
  8. ḳhūn ānkhoñ se nikaltā hī rahākārvān-e-ashk chaltā hī rahā
  9. dil dhaṛaktā hai ke tū yār hai saudā.ī kātere majnūñ ko kahāñ pās hai rusvā.ī kā
  10. dekhiye ḳhāk meñ majnūñ kī asar hai ke nahīñdasht meñ nāqa-e-lailā kā guzar hai ke nahīñ
  11. ḍartā hūñ mohabbat meñ mirā nām na hoveduniyā meñ ilāhī koī badnām na hove
  12. ālam meñ agar ishq kā bāzār na hotākoī kisī banda kā ḳharīdār na hotā
  13. abas abas tujhe mujh se hijāb ātā haitire liye koī ḳhāna ḳharāb ātā hai
  14. aks bhī kab shab-e-hijrāñ kā tamāshā.ī haiek maiñ āp hūñ yā gosha-e-tanhā.ī hai
  15. hargiz mirā vahshī na huā rām kisī kāvo sub.h ko hai yār mirā shām kisī kā