Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

احسن مارہروی

Poems

Meter
  1. adā meñ bānkpan andāz meñ ik ān paidā kartujhe ma.ashūq bannā hai to pūrī shān paidā kar
  2. ik nazar meñ dard kho denā dil-e-bīmār kāye to adnā sā karishma hai nigāh-e-yār kā
  3. ai dil na sun afsāna kisī shoḳh hasīñ kānā.āqibat andesh rahegā na kahīñ kā
  4. bāham jo husn-o-ishq meñ yārāna ho gayākoī parī banā koī dīvāna ho gayā
  5. tumhārī lan tarānī ke karishme dekhe bhāle haiñchalo ab sāmne ā jā.o ham bhī ānkh vāle haiñ
  6. jab tak apne dil meñ un kā ġham rahāhasratoñ kā rāt din mātam rahā
  7. chāhiye ishq meñ is tarah fanā ho jānājis tarah ānkh uṭhe mahv-e-adā ho jānā
  8. dil jhukā mā.il tabī.at ho ga.īāj bism-e-allāh ulfat ho ga.ī
  9. sāqī-o-vā.iz meñ zid hai bāda kash chakkar meñ haitū ba lab par aur lab ḍūbā huā sāġhar meñ hai
  10. sang dar ban kar bhī kyā hasrat mire dil meñ nahīñtere qadmoñ meñ hūñ lekin terī mahfil meñ nahīñ
  11. so hashr meñ liye dil hasrat māb meñābād ho rahā hūñ jahān-e-ḳharāb meñ
  12. ishq karte haiñ to ahl-e-ishq yūñ saudā kareñhosh kā sarmāya nazr-e-husn-e-be parvā kareñ
  13. qāsid na.ī adā se adā-e-payām homatlab ye hai ke bāt na ho aur kalām ho
  14. kashish-e-husn kī ye anjuman ārā.ī haisārī duniyā tire kūche meñ simaṭ ā.ī hai
  15. kyā zarūrat be zarūrat dekhnātum na ā.īne kī sūrat dekhnā
  16. kyūñ chup haiñ vo be bāt samajh meñ nahīñ ātāye rang mulāqāt samajh meñ nahīñ ātā
  17. mujhe ḳhabar nahīñ ġham kyā hai aur ḳhushī kyā haiye zindagī kī hai sūrat to zindagī kyā hai
  18. mutma.in apne yaqīñ par agar insāñ ho jā.eso hijāboñ meñ jo pinhāñ hai numāyāñ ho jā.e
  19. nazzāra jo hotā hai lab-e-bām tumhārāduniyā meñ uchhaltā hai bahut nām tumhārā
  20. yahāñ baġhair fuġhāñ shab basar nahīñ hotīvahāñ asar nahīñ hotā ḳhabar nahīñ hotī