Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Aabid Adeeb

b. 1937

Poems

  1. pardes meñ hūñ aur ghanī tīrgī to haipar mutma.in hūñ rāt tire shahr kī to hai
  2. jab jab bhī dekhiye use ḳhūñ bār sī lageduniyā hamesha barsar-e-paikār sī lage
  3. hādsoñ se be ḳhabar the log dhartī par tamāmāsmāñ kī nīlgūñ ānkhoñ meñ the manzar tamām
  4. safar kā shauq na manzil kī justujū bāqīmusāfiroñ ke badan meñ nahīñ lahū bāqī
  5. safar meñ aise ka.ī marhale bhī āte haiñhar ek moṛ pe kuchh log chhūṭ jāte haiñ
  6. sharīk-e-ālam-e-kaif-o-surūr meñ bhī thāke rāt jashn meñ tere huzūr meñ bhī thā
  7. kārnāma ai ġham-e-dil kuchh tirā ye kam nahīñbah ga.e ānkhoñ se dariyā aur ānkheñ nam nahīñ
  8. kaisī kaisī rāh meñ dīvāreñ karte haiñ hā.il logphir bhī manzil pā lete haiñ ham jaise zinda dil log
  9. gītoñ kā shahr hai ke nagar soz-o-sāz kāqalb-e-shikasta aur ye ālam gudāz kā
  10. maiñ apne jism meñ kuchh is tarah se bikhrā hūñke ye bhī kah nahīñ saktā maiñ kaun hūñ kiyā hūñ
  11. ye mere shahr kā ik aur hādisa hogāvo kal yahāñ mirā mehmān ban chukā hogā
  12. ye hai āb-e-ravāñ na ṭhahregāumr kā kārvāñ na ṭhahregā