شریک عالم کیف و سرور میں بھی تھا
Aabid Adeeb (b. 1937)شریک عالم کیف و سرور میں بھی تھا
کہ رات جشن میں تیرے حضور میں بھی تھا
عجیب وقت تھا دنیا قریب تھی میرے
غضب یہ تھا ترے دامن سے دور میں بھی تھا
غموں کے گھیرے میں جب رقص کر رہی تھی حیات
تماش بیں کی طرح بے شعور میں بھی تھا
نہ رکنا راہ میں شرط سفر میں شامل تھا
تھکن سے ورنہ بہت چور چور میں بھی تھا
اتر رہا تھا لہو کس بلا کا آنکھوں میں
ترے خیال میں اس دم ضرور میں بھی تھا
گزرتے وقت نے پہرے بیٹھا دئے عابدؔ
خطائیں ان کی نہ تھیں بے قصور میں بھی تھا
sharik-e-alam-e-kaif-o-surur mein bhi tha
ke rat jashn mein tere huzur mein bhi tha
ajib waqt tha duniya qarib thi mere
ghazab ye tha tire daman se daur mein bhi tha
ghamon ke ghere mein jab raqs kar rahi thi hayat
tamash bin ki tarah be shuur mein bhi tha
na rukna rah mein shart-e-safar mein shamil tha
thakan se warna bahut chur chur mein bhi tha
utar raha tha lahu kis bala ka ankhon mein
tire khayal mein is dam zarur mein bhi tha
guzarte waqt ne pahre baitha diye abid
khataen un ki na thin be qusur mein bhi tha