Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Zafar Mahmood zafar

b. 1964

Poems

Meter
  1. apne zaḳhmoñ ko dho rahā hai koīḳhūn hī ḳhūn ho rahā hai koī
  2. pās rah kar bhī bahut dūr haiñ ham bhī tum bhīkis qadar be bas-o-majbūr haiñ ham bhī tum bhī
  3. jab talak dar pesh koī hādisa hotā nahīñzindagī kyā hai hameñ us kā pata hotā nahīñ
  4. chaṛhā huā hai jo sūraj vo ḍhal bhī saktā haihavā-e-vaqt kā ruḳh to badal bhī saktā hai
  5. ḳhizāñ ke dosh pe rakhtā hai vo bahār kā rangajab hai us kī nigāhoñ meñ intizār kā rang
  6. zindagī ko ik kahānī de gayāham safar apnī nishānī de gayā
  7. zahr ik dūje ke andar bū rahā hai āj kalkis qadar zahrīlā insāñ ho rahā hai āj kal
  8. simṭā sā ik qatra hūñphail gayā to dariyā hūñ
  9. ġham se gar āshnā nahīñ hotāādmī kām kā nahīñ hotā
  10. kahtā hai dīvāna kyāsach kyā hai afsāna kyā
  11. lahū ba rang-e-digar husn lāla zār meñ haiye dukh ḳhizāñ meñ kahāñ thā jo ab bahār meñ hai
  12. nām jis shai kā zindagānī haikuchh haqīqat hai kuchh kahānī hai