غم سے گر آشنا نہیں ہوتا
Zafar Mahmood zafar (b. 1964)غم سے گر آشنا نہیں ہوتا
آدمی کام کا نہیں ہوتا
اک نیا راستہ نکلتا ہے
جب کوئی راستہ نہیں ہوتا
آدمی سے خطا بھی ہوتی ہے
آدمی دیوتا نہیں ہوتا
مے کدے میں سب ایک ہوتے ہیں
کوئی چھوٹا بڑا نہیں ہوتا
عشق میں جنگ میں سیاست میں
کچھ بھی ہو ناروا نہیں ہوتا
زیست میں وہ گھڑی بھی آتی ہے
جب کوئی آشنا نہیں ہوتا
جب وہ میرے قریب ہوتے ہیں
مجھ کو اپنا پتہ نہیں ہوتا
ہے عجب دور بے وفائی کا
کوئی وعدہ وفا نہیں ہوتا
ہم نہ دیکھیں یہ اور بات ظفرؔ
وہ کہاں رونما نہیں ہوتا
gham se gar ashna nahin hota
admi kam ka nahin hota
ik naya rasta nikalta hai
jab koi rasta nahin hota
admi se khata bhi hoti hai
admi dewta nahin hota
mai kade mein sab ek hote hain
koi chhota bara nahin hota
ishq mein jang mein siyasat mein
kuchh bhi ho narawa nahin hota
zist mein wo ghari bhi ati hai
jab koi ashna nahin hota
jab wo mere qarib hote hain
mujh ko apna pata nahin hota
hai ajab daur-e-be wafai ka
koi waada wafa nahin hota
ham na dekhen ye aur bat zafar
wo kahan runuma nahin hota