Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Yas Chandpuri

b. 1930

Poems

Meter
  1. āp haiñ kyā mulk sifat āp haiñ kyā patā nahīñham to gunāh gār haiñ ham koī pārsā nahīñ
  2. ik bhalā kām koī kar ke dikhā.o to sahīkoī girtī huī dīvār uṭhā.o to sahī
  3. pur ḳhatar rāh agar ho to safar mat kījezindagī zer-o-zabar ho to safar mat kīje
  4. jab tere sivā koī mire kām na ā.ekyūñ lab pe mohabbat se tirā nām na ā.e
  5. ḳhulūs pyār kā ab koī silsila bhī nahīñdiloñ ke bīch vo pahlā sā rābta bhī nahīñ
  6. ḳhud ko a.alā sifāt likh detekuchh to vo dil kī bāt likh dete
  7. diloñ meñ mid.hat rahmān ham bhī rakhte haiñvaqār-e-azmat qurān ham bhī rakhte haiñ
  8. duniyā kī lazzatoñ se mafar kar rahā hūñ maiñbas sādgī se umr basar kar rahā hūñ maiñ
  9. rahzan rahbar ho jāte haiñkam tar bartar ho jāte haiñ
  10. sab ke hāthoñ meñ āj patthar haiaur nishāne pe bas mirā sar hai
  11. kisī pe qahr kisī pe itāb ho ke rahākisī pe lutf tirā be hisāb ho ke rahā
  12. mirī nigāh meñ sūd-o-ziyāñ nahīñ kuchh bhīvahāñ milegā agarche yahāñ nahīñ kuchh bhī
  13. hā.e kaisā ye zamāne kā asar lagtā haijis ko dekho vahī afsurda bashar lagtā hai
  14. ham ne kabhī sochā hī nahīñ thā aisā amal aġhyār kareñgejīnā bhī dushvār kareñge marnā bhī dushvār kareñge
  15. yaqīnan koī gahrā rābta haivo jo muṛ muṛ ke mujh ko dekhtā hai