Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Yaqoob Parwaz

Poems

Meter
  1. is tarah murjhā ga.e kuchh phūl chehre rāt kodhūp āngan meñ utar ā.ī ho jaise rāt ko
  2. dil ke luṭne pe kyā kare koīkis se jā kar pata kare koī
  3. rāhzan hūñ ke rahnumā hūñ maiñkaun jāne ke asl kyā hūñ maiñ
  4. samjhe haiñ misl-e-kāh mujhe mārte haiñ logkitne haiñ kam nigāh mujhe mārte haiñ log
  5. kis qadar ḳhush thā kabhī yāroñ ke bīchab tarastā hūñ maiñ ḳharkāroñ ke bīch
  6. kyūñ tīrgī pe tum ko gumāñ chāndnī kā haiāḳhir ye rang rūp kahāñ chāndnī kā hai
  7. maiñ tirā hī ā.īna hūñ aur bastujh ko dekhā chāhtā hūñ aur bas
  8. vaise to be shumār haiñ qāmat kashīda loggintī huī to rah ga.e bas chīda chīda log
  9. havā kī chāl chal jā.egā tū bhīḳhabar kyā thī badal jā.egā tū bhī
  10. ye nazzāra na dekhā thā farāz-e-bām se pahlenikaltā hai koī sūraj ġhurūb-e-shām se pahle