Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Urooj Zaidi Badayuni

1912–1987

Poems

Meter
  1. ashk par gudāz dil hāshiya chaṛhātā haiik zarā se qissa ko dāstāñ banātā hai
  2. iztirāb-e-ḳhud numā.ī-o-hayā meñ farq haiham samajhte haiñ jo un kī har adā meñ farq hai
  3. un ke is kufr-e-bayāñ se kitne afsāne bane haiñāp dīvāne nahīñ haiñ āp dīvāne bane haiñ
  4. ehtimām-e-rang-o-bū se gulsitāñ paidā kareñā.o mil jal kar bahār-e-be ḳhizāñ paidā kareñ
  5. band haiñ dil ke darīche raushnī ma.adūm haiab jo apnā hashr honā hai hameñ ma.alūm hai
  6. be niyāzī kī ik shān ban jā.iyemujh se dānista anjān ban jā.iye
  7. pā.e talab kī manzil ab tak vahī galī haiāġhāz bhī yahī thā anjām bhī yahī hai
  8. taklīf-e-iltifāt gurezāñ kabhī kabhīyūñ bhī huī hai pursish-e-pinhāñ kabhī kabhī
  9. talḳhī-e-ġham mire ehsās kā sarmāyā haihusn se maiñ ne ye inām-e-vafā pāyā hai
  10. chānd tāroñ kā tire rūbarū sajda karnāḳhvāb dekhā hai to kyā ḳhvāb kā charchā karnā
  11. ḳhvāb kā aks kahāñ ḳhvāb kī ta.abīr meñ haimujh ko ma.alūm hai jo kuchh mirī taqdīr meñ hai
  12. dil ne ṭhokar khā ke samjhā hādsā kyā chīz haiġham kise kahte haiñ dard-e-lā davā kyā chīz hai
  13. rafta rafta dil-e-be tāb ṭhahar jā.egārafta rafta tirī nazroñ kā asar jā.egā
  14. ishq ke hāthoñ meñ parcham ke sivā kuchh bhī nahīñus kā ālam tere ālam ke sivā kuchh bhī nahīñ
  15. fikr besh-o-kam nahīñ un kī razā ke sāmneye mujhe taslīm hai arz-o-samā ke sāmne
  16. kāsh us but ko bhī ham vaqf tamannā dekheñbarf kī sil se nikaltā huā shola dekheñ
  17. go dūr ho chukā hūñ yārān-e-anjuman selekin mafar nahīñ hai ehsās kī chubhan se
  18. mujh ko majbūr sarkashī kahiyeāp andhere ko raushnī kahiye
  19. muskurā.eñ muskurā.eñ muskurā.eñ mere sāthāp duniyā ko ye ā.īna dikhā.eñ mere sāth
  20. har qadam par mujhe laġhzish kā gumāñ hotā haichashm-e-sāqī kī navāzish kā gumāñ hotā hai
  21. ye mirī ījād-e-iz.hār-e-tamannā dekhiyeshabnamī ānkhoñ kā dar parda taqāzā dekhiye