ہر قدم پر مجھے لغزش کا گماں ہوتا ہے
Urooj Zaidi Badayuni (1912–1987)ہر قدم پر مجھے لغزش کا گماں ہوتا ہے
چشم ساقی کی نوازش کا گماں ہوتا ہے
یہ حجابات تعین مجھے منظور نہیں
فکر آزاد کو بندش کا گماں ہوتا ہے
لطف پیہم نہ سہی جور مسلسل ہی سہی
ہر توجہ پہ نوازش کا گماں ہوتا ہے
ان کے آگے لب اظہار پہ ہے مہر سکوت
ایک خاموش پرستش کا گماں ہوتا ہے
میں قفس میں ہوں قفس پیش نگاہ صیاد
پر پرواز میں جنبش کا گماں ہوتا ہے
صرف تم دل کی تباہی کا سبب کیا ہوتے
بخت ناساز کی سازش کا گماں ہوتا ہے
بات یہ کیا ہے عروجؔ ان کی ہر اک بات میں آج
اپنی ہر طرز گزارش کا گماں ہوتا ہے
har qadam par mujhe laghzish ka guman hota hai
chashm-e-saqi ki nawazish ka guman hota hai
ye hijabat-e-taayyun mujhe manzur nahin
fikr azad ko bandish ka guman hota hai
lutf-e-paiham na sahi jaur-e-musalsal hi sahi
har tawajjoh pe nawazish ka guman hota hai
un ke age lab-e-izhar pe hai mehr-e-sukut
ek khamosh parastish ka guman hota hai
main qafas mein hun qafas pesh-e-nigah-e-sayyad
par-e-parwaz mein jumbish ka guman hota hai
sirf tum dil ki tabahi ka sabab kya hote
bakht-e-nasaz ki sazish ka guman hota hai
bat ye kya hai uruj un ki har ik bat mein aj
apni har tarz guzarish ka guman hota hai