Poet
ثاقب لکھنوی
Poems
- آنکھ پڑتے ہی نہ تھا نام شکیبائی کادر مے خانہ تھا نقشہ تری انگڑائی کاānkh paṛte hī na thā nām shakebā.ī kādar-e-mai ḳhāna thā naqsha tirī angṛā.ī kā
- آئینۂ عبرت ہے مرا دل بھی جگر بھیاک درد کی تصویر ادھر بھی ہے ادھر بھیā.īna-e-ibrat hai mirā dil bhī jigar bhīik dard kī tasvīr idhar bhī hai idhar bhī
- اہل غم سے عشرت عالم کا ساماں ہو گیاجب زمیں کی داغ ابھر آئے گلستاں ہو گیاahl-e-ġham se ishrat-e-ālam kā sāmāñ ho gayājab zamīñ kī dāġh ubhar ā.e gulistāñ ho gayā
- ایک ایک گھڑی اس کی قیامت کی گھڑی ہےجو ہجر میں تڑپائے وہی رات بڑی ہےek ek ghaṛī us kī qayāmat kī ghaṛī haijo hijr meñ taṛpā.e vahī rāt baṛī hai
- ایک مقتول جفا دو ظلم کے قابل نہ تھاورنہ دل کا مارنا آسان تھا مشکل نہ تھاek maqtūl-e-jafā do zulm ke qābil na thāvarna dil kā mārnā āsān thā mushkil na thā
- بڑے شباب پہ درد فراق مستی ہےنہ ہو شراب تو پہروں گھٹا برستی ہےbaṛe shabāb pe dard-e-firāq mastī haina ho sharāb to pahroñ ghaṭā barastī hai
- بس اے فلک نشاط دل کا انتقام ہو چکاہنسا تھا جس قدر کبھی زیادہ اس سے رو چکاbas ai falak nishāt-e-dil kā intiqām ho chukāhañsā thā jis qadar kabhī ziyāda us se ro chukā
- بلا ہی عشق لیکن ہر بشر قابل نہیں ہوتابہت پہلو ہیں ایسے بھی کہ جن میں دل نہیں ہوتاbalā hī ishq lekin har bashar qābil nahīñ hotābahut pahlū haiñ aise bhī ke jin meñ dil nahīñ hotā
- پردہ رہا کہ جلوۂ وحدت نما ہواغش نے خبر نہ دی مجھے کب سامنا ہواparda rahā ke jalva-e-vahdat numā huāġhash ne ḳhabar na dī mujhe kab sāmnā huā
- تکلف ہے مراد دل کا دل پر بار ہو جانامحبت کیا ہے مرنے کے لئے تیار ہو جاناtakalluf hai murād-e-dil kā dil par bār ho jānāmohabbat kyā hai marne ke liye tayyār ho jānā
- تمام عمر کی غفلت کے بعد خواب آیااٹھا جو پردۂ ہستی مجھے حجاب آیاtamām umr kī ġhaflat ke ba.ad ḳhvāb āyāuṭhā jo parda-e-hastī mujhe hijāb āyā
- تیرگی نام ہے دل والوں کے اٹھ جانے کاجس کو شب کہتے ہیں مقتل ہے وہ پروانے کاtīrgī nām hai dil vāloñ ke uṭh jāne kājis ko shab kahte haiñ maqtal hai vo parvāne kā
- تیز مجھ پر جو ستم گر کی چھری ہوتی ہےکیجیے کیا کہ لگی دل کی بری ہوتی ہےtez mujh par jo sitam gar kī chhurī hotī haikījiye kyā ke lagī dil kī burī hotī hai
- جل گیا خاک ہوا کب کا وہ پروانۂ دلختم ہوتا نہیں اب تک مگر افسانۂ دلjal gayā ḳhāk huā kab kā vo parvāna-e-dilḳhatm hotā nahīñ ab tak magar afsāna-e-dil
- چمن کا ذکر کیا اب تو خدا کو یاد کرتے ہیںخوشی صیاد کو ہوتی ہے جب فریاد کرتے ہیںchaman kā zikr kyā ab to ḳhudā ko yād karte haiñḳhushī sayyād ko hotī hai jab fariyād karte haiñ
- خود فراموش قفس ہم ہیں چمن یاد نہیںغیر کے ہو گئے ایسے کہ وطن یاد نہیںḳhud farāmosh qafas ham haiñ chaman yād nahīñġhair ke ho ga.e aise ke vatan yād nahīñ
- خون کس کس کا ہوا صدقے تری تلوار پرفصل گل دھبے ہیں لاکھوں دامن گلزار پرḳhūn kis kis kā huā sadqe tirī talvār parfasl-e-gul dhabbe haiñ lākhoñ dāman-e-gulzār par
- دل اپنے رنج و غم سے جام جہاں نما تھااب آپ ہی بتائیں اچھا تھا یا برا تھاdil apne ranj-o-ġham se jām-e-jahāñ numā thāab āp hī batā.eñ achchhā thā yā burā thā
- دل کیوں تپاں ہے کوچۂ دل دار دیکھ کرآگے بڑھوں گا چرخ کی رفتار دیکھ کرdil kyūñ tapāñ hai kūcha-e-dil dār dekh karāge baṛhūñgā charḳh kī raftār dekh kar
- دل کے ہوتے بھی کہیں درد جدا ہوتا ہےاک فقط موت کے آ جانے سے کیا ہوتا ہےdil ke hote bhī kahīñ dard judā hotā haiik faqat maut ke ā jāne se kyā hotā hai
- رخ و زلف کا ہوں فسانہ خواں یہی مشغلہ یہی کام ہےمجھے دن کا چین عذاب جاں مجھے شب کی نیند حرام ہےruḳh-o-zulf kā hūñ fasāna ḳhvāñ yahī mashġhala yahī kām haimujhe din kā chain azāb-e-jāñ mujhe shab kī nīnd harām hai
- رو رہا تھا میں بھری برسات تھیحال کیا کھلتا اندھیری رات تھیro rahā thā maiñ bharī barsāt thīhāl kyā khultā andherī rāt thī
- سحر کو بھی مری محفل میں برہمی نہ ہوئیتمام رات ہوئی درد میں کمی نہ ہوئیsahar ko bhī mirī mahfil meñ bar.hamī na huītamām rāt huī dard meñ kamī na huī
- سوائے رحمت رب کچھ نہیں ہےبہت کچھ تھا مگر اب کچھ نہیں ہےsivā.e rahmat-e-rab kuchh nahīñ haibahut kuchh thā magar ab kuchh nahīñ hai
- عبرت دہر ہو گیا جب سے چھپا مزار میںخیر جگہ تو مل گئی دیدۂ اعتبار میںibrat-e-dahr ho gayā jab se chhupā mazār meñḳhair jagah to mil ga.ī dīda-e-etibār meñ
- غش بھی آیا مری پرسش کو قضا بھی آئیبے مروت تجھے کچھ شرم و حیا بھی آئیġhash bhī āyā mirī pursish ko qazā bhī ā.ībe muravvat tujhe kuchh sharm-o-hayā bhī ā.ī
- کٹ گیا رشتۂ الفت جو ترا نام آیادل وفادار تھا لیکن نہ مرے کام آیاkaṭ gayā rishta-e-ulfat jo tirā nām āyādil vafādār thā lekin na mire kām āyā
- کون ان لاکھوں اداؤں میں مجھے پیاری نہیںنام لوں کس کس کا مجھ کو ایک بیماری نہیںkaun in lākhoñ adā.oñ meñ mujhe pyārī nahīñnām lūñ kis kis kā mujh ko ek bīmārī nahīñ
- کہاں تک جفا حسن والوں کی سہتےجوانی جو رہتی تو پھر ہم نہ رہتےkahāñ tak jafā husn vāloñ kī sahtejavānī jo rahtī to phir ham na rahte
- ملتا جو کوئی ٹکڑا اس چرخ زبرجد میںپیوند لگا دیتا میں نفس مجرد میںmiltā jo koī ṭukṛā is charḳh zabarjad meñpaivand lagā detā maiñ nafas mujarrad meñ
- میں رو رہا ہوں جو دل کو تو بیکسی کے لئےوگر نہ موت تو دنیا میں ہے سبھی کے لئےmaiñ ro rahā hūñ jo dil ko to bekasī ke liyevagar na maut to duniyā meñ hai sabhī ke liye
- میں نہیں کہتا کہ دنیا کو بدل کر راہ چلخار ہیں پیراہن گل میں سنبھل کر راہ چلmaiñ nahīñ kahtā ke duniyā ko badal kar rāh chalḳhār haiñ pairāhan-e-gul meñ sambhal kar rāh chal
- میں وہ ہوں جس کا زمانے نے سبق یاد کیاغم نے شاگرد کیا پھر مجھے استاد کیاmaiñ vo hūñ jis kā zamāne ne sabaq yād kiyāġham ne shāgird kiyā phir mujhe ustād kiyā
- نہ آسمان ہے ساکت نہ دل ٹھہرتا ہےزمانہ نام گزرنے کا ہے گزرتا ہےna āsmān hai sākit na dil-e-ṭhahartā haizamāna nām guzarne kā hai guzartā hai
- وصل کی امید بڑھتے بڑھتے تھک کر رہ گئیصبح کاذب اور کیا کرتی چمک کر رہ گئیvasl kī ummīd baṛhte baṛhte thak kar rah ga.īsub.h-e-kāzib aur kiyā kartī chamak kar rah ga.ī
- وہ نہیں ہوں میں کہ جس پر کوئی اشک بار ہوتاکبھی شمع بھی نہ روتی جو مرا مزار ہوتاvo nahīñ hūñ maiñ ke jis par koī ashk bār hotākabhī sham.a bhī na rotī jo mirā mazār hotā
- ہٹے یہ آئنہ محفل سے اور تو آئےکوئی تو ہو جو کبھی دل کے روبرو آئےhaṭe ye ā.īna mahfil se aur to ā.ekoī to ho jo kabhī dil ke rūbarū ā.e
- ہجر کی شب نالۂ دل وہ صدا دینے لگےسننے والے رات کٹنے کی دعا دینے لگےhijr kī shab nāla-e-dil vo sadā dene lagesunne vāle rāt kaṭne kī duā dene lage
- ہزار پھول لیے موسم بہار آئےجو دل ہو سوکھ کے کانٹا تو کیا قرار آئےhazār phūl liye mausam-e-bahār ā.ejo dil ho sūkh ke kānṭā to kyā qarār ā.e
- یوں اکیلا دشت غربت میں دل ناکام تھاپیچھے پیچھے موت تھی آگے خدا کا نام تھاyūñ akelā dasht-e-ġhurbat meñ dil-e-nākām thāpīchhe pīchhe maut thī āge ḳhudā kā nām thā
- یہ آہ و فغاں کیوں ہے دل زار کے آگےکہتے ہیں کہ روتے نہیں بیمار کے آگےye āh-o-fuġhāñ kyūñ hai dil-e-zār ke āgekahte haiñ ke rote nahīñ bīmār ke āge