سوائے رحمت رب کچھ نہیں ہے
ثاقب لکھنویسوائے رحمت رب کچھ نہیں ہے
بہت کچھ تھا مگر اب کچھ نہیں ہے
جہاں میں ہوں مگر کیا جانئے کیوں
مجھے دنیا سے مطلب کچھ نہیں ہے
یہ وقت نزع ہے کیا نذر دوں میں
اب آئے ہو یہاں جب کچھ نہیں ہے
اندھیرے میں وہ سوجھی یہ نہ سوجھی
تری شب ہے مری شب کچھ نہیں ہے
فقط تقدیر کی کایا پلٹ ہے
مناسب اور انسب کچھ نہیں ہے
نہ پوچھو دل سے اس کی راہ کا حال
سوائے عشق مذہب کچھ نہیں ہے
نہ ہو گر شام ہجراں کے برابر
تو بہر وصل اک شب کچھ نہیں ہے
پس دل اب کہاں آبادیٔ دہر
جو سب کچھ تھا وہی سب کچھ نہیں ہے
خدا کا واسطہ کیا دوں اسے میں
جہاں میں جس کا مذہب کچھ نہیں ہے
چمن تھا جب چمن تھا آشیاں بھی
وہیں تھا میں جہاں اب کچھ نہیں ہے
محصل نظم ثاقبؔ کا نہ پوچھو
فقط لفظیں ہیں مطلب کچھ نہیں ہے
siwae rahmat-e-rab kuchh nahin hai
bahut kuchh tha magar ab kuchh nahin hai
jahan mein hun magar kya janiye kyun
mujhe duniya se matlab kuchh nahin hai
ye waqt-e-nazaa hai kya nazr dun main
ab ae ho yahan jab kuchh nahin hai
andhere mein wo sujhi ye na sujhi
tiri shab hai miri shab kuchh nahin hai
faqat taqdir ki kaya palat hai
munasib aur ansab kuchh nahin hai
na puchho dil se us ki rah ka hal
siwae ishq mazhab kuchh nahin hai
na ho gar sham-e-hijran ke barabar
tu bahr-e-wasl ik shab kuchh nahin hai
pas dil ab kahan abadi-e-dahr
jo sab kuchh tha wahi sab kuchh nahin hai
khuda ka wasta kya dun use main
jahan mein jis ka mazhab kuchh nahin hai
chaman tha jab chaman tha ashiyan bhi
wahin tha main jahan ab kuchh nahin hai
muhassil nazm saqib ka na puchho
faqat lafzen hain matlab kuchh nahin hai