Poet
Qadir Siddiqi
b. 1923
Poems
- اپنی محبتوں کا یہ اچھا صلہ ملاجو بھی ملا مجھے وہ مجھی سے خفا ملاapnī mohabbatoñ kā ye achchhā sila milājo bhī milā mujhe vo mujhī se ḳhafā milā
- بدلی ہوئی نظروں سے اب بھی انداز پرانے مانگے ہےدل میرا کتنا مورکھ ہے وہ بیتے زمانے مانگے ہےbadlī huī nazroñ se ab bhī andāz purāne māñge haidil merā kitnā mūrakh hai vo bīte zamāne māñge hai
- بیکار بھی اس دور میں بیکار نہیں ہےاس دور ترقی پہ بہت ناز نہ کیجےbekār bhī is daur meñ bekār nahīñ haiis daur-e-taraqqī pe bahut nāz na kīje
- پیار کا آج چلن دوستو دشوار ہے کیوںآج انسان خود انسان سے بیزار ہے کیوںpyār kā āj chalan dosto dushvār hai kyūñāj insān ḳhud insān se bezār hai kyūñ
- تیرا فراق عرصۂ محشر لگا مجھےجب بھی خیال آیا بڑا ڈر لگا مجھےterā firāq arsa-e-mahshar lagā mujhejab bhī ḳhayāl āyā baṛā ḍar lagā mujhe
- حق وفاؤں کا جفاؤں سے ادا کرتے ہیں لوگآج کی دنیا کو کیا کہیے کہ کیا کرتے ہیں لوگhaq vafā.oñ kā jafā.oñ se adā karte haiñ logāj kī duniyā ko kyā kahiye ke kyā karte haiñ log
- حیراں ہیں سارے آئینے ماضی و حال کےجلوے بکھر گئے ہیں یہ کس خوش جمال کےhairāñ haiñ sāre ā.īne māzī-o-hāl kejalve bikhar ga.e haiñ ye kis ḳhush jamāl ke
- دل مضمحل ہے ان کے خیالوں کے باوجوداک سیل تیرگی ہے اجالوں کے باوجودdil muzmahil hai un ke ḳhayāloñ ke bāvajūdik sail-e-tīrgī hai ujāloñ ke bāvajūd
- رفتہ رفتہ دل میں اک الجھن نئی پاتے ہیں ہمہم یہ سمجھے تھے کہ ان کو بھولتے جاتے ہیں ہمrafta rafta dil meñ ik uljhan na.ī pāte haiñ hamham ye samjhe the ke un ko bhūlte jāte haiñ ham
- رہے ہمیشہ مخاطب بس اپنی ذات سے ہمرجوع ہوتے بھی کیا حسن کائنات سے ہمrahe hamesha muḳhātib bas apnī zāt se hamrujū hote bhī kyā husn-e-kā.ināt se ham
- غم گناہ سے فکر نجات سے الجھےتمام عمر ہم افسون ذات سے الجھےġham-e-gunāh se fikr-e-najāt se uljhetamām umr ham afsūn zāt se uljhe
- گیا وہ دور تو خوابوں کے سلسلے بھی گئےدل و نگاہ کے پر کیف حوصلے بھی گئےgayā vo dūr to ḳhvāboñ ke silsile bhī ga.edil-o-nigāh ke pur kaif hausle bhī ga.e
- مٹنے کا جنوں لٹنے کا ارماں نظر آیاآپ آئے تو کچھ جینے کا ساماں نظر آیاmiṭne kā junūñ luṭne kā armāñ nazar āyāāp ā.e to kuchh jīne kā sāmāñ nazar āyā
- وائے قسمت کہ قریب اس نے نہ آنا چاہاعمر بھر ہم نے جسے اپنا بنانا چاہاvā.e qismat ke qarīb us ne na ānā chāhāumr bhar ham ne jise apnā banānā chāhā
- ہم پھرے شہر میں آوارہ و رسوا برسوںدل کے مندر میں ترے وہم کو پوجا برسوںham phire shahr meñ āvāra-o-rusvā barsoñdil ke mandir meñ tire vahm ko pūjā barsoñ