بیکار بھی اس دور میں بیکار نہیں ہے
Qadir Siddiqi (b. 1923)بیکار بھی اس دور میں بیکار نہیں ہے
اس دور ترقی پہ بہت ناز نہ کیجے
اس دور میں سب کچھ ہے مگر پیار نہیں ہے
ہر چیز کی بہتات ہے اس دور میں لیکن
وہ چیز جسے کہتے ہیں کردار نہیں ہے
اس بات پہ ناراض ہیں نا خوش ہیں کھنچے ہیں
وہ بات کہ جس بات کا اظہار نہیں ہے
یہ بات ہے کچھ اور کہ دل زخمی ہے اس کا
صورت سے تو قادرؔ ترا بیمار نہیں ہے
bekar bhi is daur mein bekar nahin hai
is daur-e-taraqqi pe bahut naz na kije
is daur mein sab kuchh hai magar pyar nahin hai
har chiz ki bahutat hai is daur mein lekin
wo chiz jise kahte hain kirdar nahin hai
is bat pe naraz hain na khush hain khinche hain
wo bat ke jis bat ka izhar nahin hai
ye bat hai kuchh aur ke dil zakhmi hai us ka
surat se to qadir tira bimar nahin hai