Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Nazeer Akbarabadi

نظیر اکبر آبادی

1735–1830Born in DelhiDied in Agra

Nazeer Akbarabadi, whose given name was Wali Muhammad, spent his life as a teacher in Agra, then called Akbarabad, and joined no court. He is known for nazms in everyday language about ordinary people and their world: festivals such as Holi, Diwali and Eid, the seasons, animals and poverty. His well-known poems include Banjaranama, Aadmi Nama and Muflisi.

Writes about

  • Everyday life
  • Festivals
  • Poverty
  • Seasons

Poems

  1. ham dekheñ kis din husn ai dil is rashk-e-parī kā dekheñgevo qad vo kamar vo chashm vo lab vo zulf vo mukhṛā dekheñge
  2. ham meñ bhī aur unhoñ meñ pahle jo yāriyāñ thīñdonoñ diloñ meñ kyā kyā umīdvāriyāñ thīñ
  3. hañse roe phire rusvā hue jāge bandhe chhoṭeġharaz ham ne bhī kyā kyā kuchh mohabbat ke maze lauṭe
  4. havā ḳhurshīd ke dekhe se dūnā iztirāb apnāke ye niklā sahar ko aur na niklā āftāb apnā
  5. hosh-o-ḳhirad ko kar diyā tark aur shaġhl jo kuchh thā chhoṛ diyāham ne tumhārī chāh meñ ai jāñ dekho to kyā kyā chhoṛ diyā
  6. ho kuchh āseb to vāñ chāhiye ganḍā ta.avīzaur jo ho ishq kā sāya to kare kyā ta.avīz
  7. ho kis tarah na ham ko har dam havā-e-matlabdekhā jo ḳhūb ham ne duniyā hai jā.e matlab
  8. ho kyūñ na tire kām meñ hairān tamāshāyārab tirī qudrat meñ hai har ān tamāshā
  9. hūñ tere tasavvur meñ mirī jāñ hama tan chashmdil hai mirā jūñ ā.īna hairāñ hama tan chashm
  10. huī shakl apnī ye ham nashīñ jo sanam ko ham se hijāb haikabhī ashk hai kabhī āh hai kabhī ranj hai kabhī tāb hai
  11. hue ḳhush ham ek nigār se hue shād us kī bahār sekabhī shān se kabhī ān se kabhī nāz se kabhī pyār se
  12. haiñ dam ke sāth ishrat-o-usrat hazārhāvābasta ek tār-e-nafas se haiñ tār hā
  13. hai ab to vo hameñ is sarv sīm bar kī talabke tā.irān havā se hai bāl-o-par kī talab
  14. hai ab to ye dhun us se maiñ ānkh laṛā lūñgāaur chūm ke muñh us kā sīne se lagā lūñgā
  15. yār ne ham ko agar rusvā kahā achchhā kahāham to rusvā haiñ hī kyā be jā kahā achchhā kahā
  16. yāñ to kuchh apnī ḳhushī se nahīñ ham ā.e hueik zabardast ke haiñ khīñch ke balvā.e hue
  17. yak ba yak hogī siyāhī is qadar jātī rahīkyā kaheñ goyā siyāhī yak sar-e-mū bhī na thī
  18. ye jo uṭhtī konpal hai jab apnā barg nikālegīḍālī ḍālī chāṭegī aur patā patā khā legī
  19. ye jo gul rū nigār hañste haiñfitna gar haiñ hazār hañste haiñ
  20. ye chhapke kā jo bālā kān meñ ab tum ne ḍālā haiisī bāle kī daulat se tumhārā bol bālā hai
  21. ye hasb-e-aql to koī nahīñ sāmān milne kāmagar duniyā se le jāveñge ham armān milne kā
  22. ye husn hai āh yā qayāmat ke ik bhabhūkā bhubhak rahā haifalak pe sūraj bhī thartharā kar muñh us kā hairat se tak rahā hai
  23. ye dil-e-nādāñ hamārā bhī ajab dīvāna thāus ko apnā ghar ye samjhā thā jo mehmāñ ḳhāna thā
  24. ye gila dil se to hargiz nahīñ jānā sāhabsab ne jānā hameñ par tum ne na jānā sāhab