Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Jafar Sahni

1941–2018

Poems

  1. andāz kisī kā hai sadā aur kisī kīhai choṭ koī aur davā aur kisī kī
  2. ek ma.asūm tamannā kī fazā thī kal takzindagī aisī kahāñ hosh rubā thī kal tak
  3. baiṭhā thā tan ko ḍhānk ke jo garm shāl semushkil meñ paṛ gayā vo sitāroñ kī chāl se
  4. pur shor talātum kā mudāvā koī āhaṭsangīn fazā meñ thī dilāsā koī āhaṭ
  5. pīchhā hī nahīñ chhoṛtī ghar bār kī ḳhushbūraste se ayāñ hai dar-o-dīvār kī ḳhushbū
  6. tamāshā ik anokhā sā dikhānātaraddud meñ khulā chehra dikhānā
  7. jabīñ pe shahr kī likh kar fazā udāsī kībahut hai ḳhush koī de kar duā udāsī kī
  8. chāndnī shab bhar ṭahaltī chhat pe tanhā rah ga.īpyār kī har yād rangīñ be sahārā ho ga.ī
  9. ḳhāk meñ lipṭī kahānī aur hairang lekin āsmānī aur hai
  10. ḳhāmosh nigāhoñ se vo yalġhār kā honāmiltā hai nafī meñ kisī iqrār kā honā
  11. dil meñ baiṭhā thā ek ḍar shāyadāj bhī hai vo ham safar shāyad
  12. dil meñ ḳhayāl-e-ishq thā mehmān kī taraharmāñ sajā thā mīr ke dīvān kī tarah
  13. zard pattā jo ḍāl se niklāhasratoñ ke vabāl se niklā
  14. zavāl umr ke parde meñ hai hijāb kahāñvafūr-e-shauq se labrez ab gulāb kahāñ
  15. shar kī bātoñ meñ tamāzat kā nishāñ ho ke na hoāg lagtī hai to sīne meñ dhuāñ ho ke na ho
  16. tasht meñ dhūp ke har samt zamīñ hai raushanjagmagātā hai makāñ aur makīñ hai raushan
  17. kabhī nāzuk kabhī be had kaṛā haivo taġhlaq sāmne ban kar khaṛā hai
  18. lamhoñ ke ishāre meñ jafā dekh ke chup haikis vāste har ġham ko ḳhudā dekh ke chup hai
  19. mohabbatoñ kī ināyatoñ se huā hai dil ye ḳharāb bābāḳhudā parastī kā tūr dekho banā hai kaisā azāb bābā
  20. har samt uṛī gard mire shahr gumāñ meñmahsūr-e-tamannā hai zamāne ke dhuāñ meñ
  21. har taraf mauj-e-balā kī sī ravānī dekhīashk kī god meñ majbūr kahānī dekhī