Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ehya Bhojpuri

b. 1977

Poems

Meter
  1. ai kāsh ho barsāt zarā aur zarā aurbaṛh jā.e mulāqāt zarā aur zarā aur
  2. tabsira kyūñ kar rahe ho bārhā ajdād parfaisla hogā tumhārā āj kī buniyād par
  3. tujhe bhī husn-e-mutlaq kā abhī dīdār ho jā.emire mahbūb ke jo rū ba ro ik bār ho jā.e
  4. tumhārī tārīḳh koī badle use miṭā.e to sar uṭhā.oagar sharāfat na kām ā.e na haq dilā.e to sar uṭhā.o
  5. jab kabhī dard kī tasvīr banāne niklezaḳhm kī tah meñ ka.ī zaḳhm purāne nikle
  6. zabān band rakheñ aur tum se ḍar jā.eñye bāt zehn meñ āne se qabl mar jā.eñ
  7. qasam ḳhudā kī na jānā kahīñ nahīñ jānābahut burā hai zamāna kahīñ nahīñ jānā
  8. kitnā kamzor hai īmān patā lagtā haighar meñ āyā huā mehmān burā lagtā hai
  9. kisī kī chāhat meñ qaid rahnā burā nahīñ hai to aur kyā haibaġhair khiṛkī ke ghar meñ rahnā sazā nahīñ hai to aur kyā hai
  10. kyūñ har taraf to ḳhvār huā ehtisāb karnārāz kyūñ hai tujh se ḳhudā ehtisāb kar
  11. matlab kā koī sher sunā.eñ jahāñ panāhham sāmi.īñ pe qahr na ḍhā.eñ jahāñ panāh
  12. maqsad-e-zindagī ḍhūñḍhtā rah gayāik sarā jab milā dūsrā rah gayā
  13. hāthoñ kī lakīroñ kā likhā kāṭ rahe haiñham apne gunāhoñ kī sazā kāṭ rahe haiñ
  14. hijrat karo to rishta-o-sāmān chhoṛ karvarna na jā.o tum kabhī maidān chhoṛ kar
  15. haiñ mere zaḳhm kī ra.anā.iyāñ ajīb-o-ġharībke us ko chāhiye gahrā.iyāñ ajīb-o-ġharīb