Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ehya Bhojpuri

b. 1977

Poems

Meter
  1. ātā nahīñ adū se yārī mujhe nibhānāmiltā nahīñ vo dil se phir hāth kyā milānā
  2. ā hī jāte ho ḳhvāb meñ har shabtum mirā kitnā dhyān rakhte ho
  3. jis raushnī pe aks kā dār-o-madār haiis raushnī ko kaun dikhā.egā ā.īna
  4. ḳhud par kisī ko hañsne kā mauqa.a nahīñ diyāpūchhā kisī ne hāl to sigreṭ jalā liyā
  5. dil ke andar bhī chār ḳhāne haiñkoī kaise na bad gumāñ hogā
  6. sukūn kitnā thā jhonpaṛī meñmahal meñ ā kar patā chalā hai
  7. kām kuchh to kījiye apnī baqā ke vāsteinqilābī nām se to inqilāb ātā nahīñ
  8. khaṭak rahā hūñ musalsal kisī kī ānkhoñ meñisī liye to nishāne pe bār bār hūñ maiñ
  9. mirā ghar jalāne vāle mujhe fikr hai tirī bhīke havā kā ruḳh jo badlā tirā ghar bhī jal na jā.e