Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ehya Bhojpuri

b. 1977

Poems

Meter
  1. ai kāsh ho barsāt zarā aur zarā aurbaṛh jā.e mulāqāt zarā aur zarā aur
  2. tabsira kyūñ kar rahe ho bārhā ajdād parfaisla hogā tumhārā āj kī buniyād par
  3. tujhe bhī husn-e-mutlaq kā abhī dīdār ho jā.emire mahbūb ke jo rū ba ro ik bār ho jā.e
  4. tumhārī tārīḳh koī badle use miṭā.e to sar uṭhā.oagar sharāfat na kām ā.e na haq dilā.e to sar uṭhā.o
  5. jab kabhī dard kī tasvīr banāne niklezaḳhm kī tah meñ ka.ī zaḳhm purāne nikle
  6. zabān band rakheñ aur tum se ḍar jā.eñye bāt zehn meñ āne se qabl mar jā.eñ
  7. qasam ḳhudā kī na jānā kahīñ nahīñ jānābahut burā hai zamāna kahīñ nahīñ jānā
  8. kitnā kamzor hai īmān patā lagtā haighar meñ āyā huā mehmān burā lagtā hai
  9. kisī kī chāhat meñ qaid rahnā burā nahīñ hai to aur kyā haibaġhair khiṛkī ke ghar meñ rahnā sazā nahīñ hai to aur kyā hai
  10. kyūñ har taraf to ḳhvār huā ehtisāb karnārāz kyūñ hai tujh se ḳhudā ehtisāb kar
  11. matlab kā koī sher sunā.eñ jahāñ panāhham sāmi.īñ pe qahr na ḍhā.eñ jahāñ panāh
  12. maqsad-e-zindagī ḍhūñḍhtā rah gayāik sarā jab milā dūsrā rah gayā
  13. hāthoñ kī lakīroñ kā likhā kāṭ rahe haiñham apne gunāhoñ kī sazā kāṭ rahe haiñ
  14. hijrat karo to rishta-o-sāmān chhoṛ karvarna na jā.o tum kabhī maidān chhoṛ kar
  15. haiñ mere zaḳhm kī ra.anā.iyāñ ajīb-o-ġharībke us ko chāhiye gahrā.iyāñ ajīb-o-ġharīb
  16. ātā nahīñ adū se yārī mujhe nibhānāmiltā nahīñ vo dil se phir hāth kyā milānā
  17. ā hī jāte ho ḳhvāb meñ har shabtum mirā kitnā dhyān rakhte ho
  18. jis raushnī pe aks kā dār-o-madār haiis raushnī ko kaun dikhā.egā ā.īna
  19. ḳhud par kisī ko hañsne kā mauqa.a nahīñ diyāpūchhā kisī ne hāl to sigreṭ jalā liyā
  20. dil ke andar bhī chār ḳhāne haiñkoī kaise na bad gumāñ hogā
  21. sukūn kitnā thā jhonpaṛī meñmahal meñ ā kar patā chalā hai
  22. kām kuchh to kījiye apnī baqā ke vāsteinqilābī nām se to inqilāb ātā nahīñ
  23. khaṭak rahā hūñ musalsal kisī kī ānkhoñ meñisī liye to nishāne pe bār bār hūñ maiñ
  24. mirā ghar jalāne vāle mujhe fikr hai tirī bhīke havā kā ruḳh jo badlā tirā ghar bhī jal na jā.e