Poet
Badr Wasti
Poems
- اقرار کسی دن ہے تو انکار کسی دنہو جائے گی اب آپ سے تکرار کسی دنiqrār kisī din hai to inkār kisī dinho jā.egī ab āp se takrār kisī din
- برا ہو کر بھی وہ اچھا بہت ہےوہ جیسا ہے نہیں بنتا بہت ہےburā ho kar bhī vo achchhā bahut haivo jaisā hai nahīñ bantā bahut hai
- پھل درختوں سے گرے تھے آندھیوں میں تھال بھرمیرے حصے میں مگر آئے نہیں رومال بھرphal daraḳhtoñ se gire the āndhiyoñ meñ thāl bharmere hisse meñ magar ā.e nahīñ rūmāl bhar
- تمہارے دل میں جو غم بسا ہے تو میں کہاں ہوںیہ میں نہیں کوئی دوسرا ہے تو میں کہاں ہوںtumhāre dil meñ jo ġham basā hai to maiñ kahāñ hūñye maiñ nahīñ koī dūsrā hai to maiñ kahāñ hūñ
- چراغوں میں اندھیرا ہے اندھیرے میں اجالے ہیںہمارے شہر میں کالی ہوا نے پر نکالے ہیںcharāġhoñ meñ andherā hai andhere meñ ujāle haiñhamāre shahr meñ kālī havā ne par nikāle haiñ
- دھانی سرمئی سبز گلابی جیسے ماں کا آنچل شامکیسے کیسے رنگ دکھائے روز لبالب چھاگل شامdhānī surma.ī sabz gulābī jaise māñ kā ānchal shāmkaise kaise rang dikhā.e roz labālab chhāgal shām
- ذہن اور دل میں جو رہتی ہے چبھن کھل جائےآئے کاغذ پہ تو سلمائے سخن کھل جائےzehn aur dil meñ jo rahtī hai chubhan khul jā.eā.e kāġhaz pe to salmā-e-suḳhan khul jā.e
- فکر اہل ہنر پہ بیٹھی ہےشاعری سیم و زر پہ بیٹھی ہےfikr-e-ahl-e-hunar pe baiṭhī haishāyarī sīm-o-zar pe baiṭhī hai
- کس کو فرصت کون پڑھے گا چہرے جیسا سچا سچروز عدالت میں چلتا ہے کھوٹا سکہ جھوٹا سچkis ko fursat kaun paṛhegā chehre jaisā sachchā sachroz adālat meñ chaltā hai khoṭā sikka jhūṭā sach
- وہ جب دے گا جو کچھ دے گا دے گا اپنے والوں کوویسے بھی کچھ ملتا کب ہے دھوپ میں تپنے والوں کوvo jab degā jo kuchh degā degā apne vāloñ kovaise bhī kuchh miltā kab hai dhūp meñ tapne vāloñ ko
- خبر شاکی ہے تم مجھ کوفقط قصہ سمجھ کر ہی نظر انداز کرتے ہوḳhabar shākī hai tum mujh kofaqat qissa samajh kar hī nazar andāz karte ho
- میں بھی کچھ خواب سر شبر تمنا لے کرسر میں عرفان غم ذات کا سودا لے کرmaiñ bhī kuchh ḳhvāb sar shabar-e-tamannā le karsar meñ irfān-e-ġham zāt kā saudā le kar
- آج کل تو سب کے سب ٹی وی کے دیوانے ہوئےورنہ بچے تو لیا کرتے تھے پاگل کے مزےāj kal to sab ke sab ṭī vī ke dīvāne huevarna bachche to liyā karte the pāgal ke maze
- پھل دار درختوں نے رجھایا تو مجھے بھیآزاد پرندوں کے لیے شاخ و ثمر کیاphal dār daraḳhtoñ ne rijhāyā to mujhe bhīāzād parindoñ ke liye shāḳh-o-samar kyā
- عذاب ہوتی ہیں اکثر شباب کی گھڑیاںگلاب اپنی ہی خوشبو سے ڈرنے لگتے ہیںazāb hotī haiñ aksar shabāb kī ghaṛiyāñgulāb apnī hī ḳhushbū se ḍarne lagte haiñ
- قاتل کی ساری سازشیں ناکام ہی رہیںچہرہ کچھ اور کھل اٹھا زہراب گر پیاqātil kī sārī sāzisheñ nākām hī raheñchehra kuchh aur khul uṭhā zahrāb gar piyā
- لہو کا آخری قطرہ نچوڑنے پر بھیتقاضے رینگتے رہتے ہیں رنگ و بو کے لئےlahū kā āḳhirī qatra nichoṛne par bhītaqāze reñgte rahte haiñ rang-o-bū ke liye
- ہر شخص کو گمان کہ منزل نہیں ہے دوریہ تو بتائیے کہ پتہ کس کے پاس ہےhar shaḳhs ko gumān ke manzil nahīñ hai dūrye to batā.iye ke pata kis ke pās hai