Poet
Urfi Aafaqi
b. 1936
Poems
- بستہ لب تھا وہ مگر سارے بدن سے بولتا تھابھید گہرے پانیوں کے چپکے چپکے کھولتا تھاbasta lab thā vo magar sāre badan se boltā thābhed gahre pāniyoñ ke chupke chupke kholtā thā
- پھر کیا جو پھوٹ پھوٹ کے خلوت میں روئیےیکسر جہان ہی کو نہ جب تک ڈبوئیےphir kyā jo phūṭ phūṭ ke ḳhalvat meñ roiyeyaksar jahān hī ko na jab tak ḍuboiye
- جینے کے ڈھب جب آئے تو مرنا پڑا مجھےکس غم سے رم کیا کہ ٹھہرنا پڑا مجھےjīne ke ḍhab jab ā.e to marnā paṛā mujhekis ġham se ram kiyā ke ṭhaharnā paṛā mujhe
- رواں دواں سوئے منزل ہے قافلہ کہ جو تھاوہی ہنوز ہے یک دشت فاصلہ کہ جو تھاravāñ davāñ sū-e-manzil hai qāfila ke jo thāvahī hanoz hai yak dasht-e-fāsla ke jo thā
- رہ جاتی ہے ہر چیز جہاں سائے میں ڈھل کروہ دیس بھی اک بار ذرا دیکھیے چل کرrah jātī hai har chīz jahāñ sā.e meñ ḍhal karvo des bhī ik bār zarā dekhiye chal kar
- صبا سے آتی ہے کچھ بوئے آشنا مجھ کوبلا رہا ہے مرے خوں کا ذائقہ مجھ کوsabā se ātī hai kuchh bū-e-āshnā mujh kobalā rahā hai mire ḳhūñ kā zā.iqa mujh ko
- کہتے ہو کچھ کہوں تو غلط سربسر غلطکیوں کر بنے کہو جو ہر اک بات پر غلطkahte ho kuchh kahūñ to ġhalat sarbasar ġhalatkyūñ kar bane kaho jo har ik bāt par ġhalat
- نہ آنکھ چھلکی نہ ہونٹ لرزے نہ سانس الجھی نہ دل ہی دھڑکاکہاں وہ جذبات کا تلاطم نہ تم وہ تم تھے نہ ہم وہ ہم تھےna ānkh chhalkī na honṭ larze na sāns uljhī na dil hī dhaṛkākahāñ vo jazbāt kā talātum na tum vo tum the na ham vo ham the
- وہ دھیان کی راہوں میں جہاں ہم کو ملے گابس ایک چھلاوے سا کوئی دم کو ملے گاvo dhyān kī rāhoñ meñ jahāñ ham ko milegābas ek chhalāve sā koī dam ko milegā
- ہے بھی کچھ یا کہ سمک تا بہ سما کچھ بھی نہیںپوچھا جب جب تو یہی آئی صدا کچھ بھی نہیںhai bhī kuchh yā ke samak tā ba samā kuchh bhī nahīñpūchhā jab jab to yahī ā.ī sadā kuchh bhī nahīñ
- ہے دل میں ایک بات جسے در بہ در کہیںہر چند اس میں جان بھی جائے مگر کہیںhai dil meñ ek bāt jise dar ba dar kahīñhar chand is meñ jān bhī jā.e magar kahīñ