Poet
Unwan Chishti
1937–2004
Poems
- آج اچانک پھر یہ کیسی خوشبو پھیلی یادوں کیدل کو عادت چھوٹ چکی تھی مدت سے فریادوں کیāj achānak phir ye kaisī ḳhushbū phailī yādoñ kīdil ko ādat chhūṭ chukī thī muddat se fariyādoñ kī
- بچے بھی اب دیکھ کے اس کو ہنستے ہیںاس کے منہ پر رنگ برنگے سائے ہیںbachche bhī ab dekh ke us ko hañste haiñus ke muñh par rang barange sā.e haiñ
- تعصب کی فضا میں طعنۂ کردار کیا دیتامنافق دوستوں کے ہاتھ میں تلوار کیا دیتاta.assub kī fazā meñ ta.ana-e-kirdār kyā detāmunāfiq dostoñ ke hāth meñ talvār kyā detā
- جب زلف شریر ہو گئی ہےخود اپنی اسیر ہو گئی ہےjab zulf sharīr ho ga.ī haiḳhud apnī asīr ho ga.ī hai
- حسن سے آنکھ لڑی ہو جیسےزندگی چونک پڑی ہو جیسےhusn se ānkh laṛī ho jaisezindagī chauñk paṛī ho jaise
- رات کئی آوارہ سپنے آنکھوں میں لہرائے تھےشاید وہ خود بھیس بدل کر نیند چرانے آئے تھےrāt ka.ī āvāra sapne ānkhoñ meñ lahrā.e theshāyad vo ḳhud bhes badal kar nīnd churāne ā.e the
- رہنے دے تکلیف توجہ دل کو ہے آرام بہتہجر میں تیری یاد بہت ہے غم میں تیرا نام بہتrahne de taklīf tavajjoh dil ko hai ārām bahuthijr meñ terī yād bahut hai ġham meñ terā nām bahut
- زندہ باد اے دشت کے منظر زندہ بادشہر میں ہے جلتا ہوا ہر گھر زندہ بادzinda bād ai dasht ke manzar zinda bādshahr meñ hai jaltā huā har ghar zinda bād
- ساری دنیا میں دانہ ہے اپنے گھر میں کچھ بھی نہیںایسا لگتا ہے اب اس کے کیسۂ زر میں کچھ بھی نہیںsārī duniyā meñ dāna hai apne ghar meñ kuchh bhī nahīñaisā lagtā hai ab us ke kīsa-e-zar meñ kuchh bhī nahīñ
- عشق پھر عشق ہے آشفتہ سری مانگے ہےہوش کے دور میں بھی جامہ دری مانگے ہےishq phir ishq hai āshufta sirī māñge haihosh ke daur meñ bhī jāma darī māñge hai
- کسی کے فیض قرب سے حیات اب سنور گئینفس نفس مہک اٹھا نظر نظر نکھر گئیkisī ke faiz qurb se hayāt ab sañvar ga.īnafas nafas mahak uṭhā nazar nazar nikhar ga.ī
- کہتے ہیں ازل جس کو اس سے بھی کہیں پہلےایمان محبت پر لائے تھے ہمیں پہلےkahte haiñ azal jis ko us se bhī kahīñ pahleīmān-e-mohabbat par lā.e the hameñ pahle
- مرے شانوں پہ ان کی زلف لہرائی تو کیا ہوگامحبت کو خنک سائے میں نیند آئی تو کیا ہوگاmire shānoñ pe un kī zulf lahrā.ī to kyā hogāmohabbat ko ḳhunuk sā.e meñ nīnd ā.ī to kyā hogā
- وہ مسکرا کے محبت سے جب بھی ملتے ہیںمری نظر میں ہزاروں گلاب کھلتے ہیںvo muskurā ke mohabbat se jab bhī milte haiñmirī nazar meñ hazāroñ gulāb khulte haiñ
- یہ حادثوں کا نیا سلسلہ لگے ہے مجھےخود اپنے آپ میں کچھ ٹوٹتا لگے ہے مجھےye hādsoñ kā nayā silsila lage hai mujheḳhud apne āp meñ kuchh ṭūṭṭā lage hai mujhe
- آپ سے چوک ہو گئی شایدآپ اور مجھ پہ مہرباں کیا خوبāp se chok ho ga.ī shāyadāp aur mujh pe mehrbāñ kiyā ḳhūb
- وہ حادثے بھی دہر میں ہم پر گزر گئےجینے کی آرزو میں کئی بار مر گئےvo hādse bhī dahr meñ ham par guzar ga.ejīne kī ārzū meñ ka.ī bār mar ga.e