ساری دنیا میں دانہ ہے اپنے گھر میں کچھ بھی نہیں
Unwan Chishti (1937–2004)ساری دنیا میں دانہ ہے اپنے گھر میں کچھ بھی نہیں
ایسا لگتا ہے اب اس کے کیسۂ زر میں کچھ بھی نہیں
ذوق نظر پھر آمادہ ہے جلووں کی پیمائش پر
خالی آنکھیں یہ کہتی ہیں چاند نگر میں کچھ بھی نہیں
خود داری بھی کچا شیشہ فن کاری بھی کچی نیند
سب کچھ کھو کر یہ پایا ہے شہر ہنر میں کچھ بھی نہیں
چاروں کھونٹ پھرا ہوں لیکن اپنے آپ کو پا نہ سکا
گھر آ کر یہ راز کھلا ہے سمت و سفر میں کچھ بھی نہیں
پرکھوں سے عنوان سنا ہے بھوک اور نیند میں رشتہ ہے
آج کی رات کٹھن گزرے گی آج تو گھر میں کچھ بھی نہیں
sari duniya mein dana hai apne ghar mein kuchh bhi nahin
aisa lagta hai ab us ke kisa-e-zar mein kuchh bhi nahin
zauq-e-nazar phir amada hai jalwon ki paimaish par
khali ankhen ye kahti hain chand nagar mein kuchh bhi nahin
khud dari bhi kachcha shisha fan kari bhi kachchi nind
sab kuchh kho kar ye paya hai shahr-e-hunar mein kuchh bhi nahin
charon khunt phira hun lekin apne ap ko pa na saka
ghar a kar ye raz khula hai samt-o-safar mein kuchh bhi nahin
purkhon se unwan suna hai bhuk aur nind mein rishta hai
aj ki rat kathin guzregi aj to ghar mein kuchh bhi nahin