Poet
صفی اورنگ آبادی
Poems
- اب ایک درد بھی دل میں نظر نہیں آتاکسی کے کام کوئی عمر بھر نہیں آتاab ek dard bhī dil meñ nazar nahīñ ātākisī ke kām koī umr bhar nahīñ ātā
- اب نہ وہ ہم ہیں نہ وہ پیار کی صورت تیرینہ وہ حالت ہے ہماری نہ وہ حالت تیریab na vo ham haiñ na vo pyār kī sūrat terīna vo hālat hai hamārī na vo hālat terī
- اسے کیا رات دن جو طالب دیدار پھرتے ہیںغرض ہے تو غرض کے واسطے سو بار پھرتے ہیںuse kyā rāt din jo tālib-e-dīdār phirte haiñġharaz hai to ġharaz ke vāste sau bār phirte haiñ
- اے دل نہ عقیدہ ہے دوا پر نہ دعا پرکم بخت تجھے چھوڑ دیا ہم نے خدا پرai dil na aqīda hai davā par na duā parkam baḳht tujhe chhoṛ diyā ham ne ḳhudā par
- بد گماں کیا قبر میں ارماں ترے لے جائیں گےہم اکیلے آئے ہیں جیسے اکیلے جائیں گےbad gumāñ kyā qabr meñ armāñ tire le jā.eñgeham akele ā.e haiñ jaise akele jā.eñge
- بنے ہو خاک سے تو خاکساری ہو طبیعت میںطبیعت ایسی بنتی ہے تو بنتی ہے محبت میںbane ho ḳhāk se to ḳhāksārī ho tabī.at meñtabī.at aisī bantī hai to bantī hai mohabbat meñ
- پوچھتے کیا ہو ترا یہ حال کیسا ہو گیاتم نہ جانو تو خدا جانے مجھے کیا ہو گیاpūchhte kyā ho tirā ye hāl kaisā ho gayātum na jāno to ḳhudā jāne mujhe kyā ho gayā
- ترا بے مدعا مانگے دعا کیامرض ہے تندرستی میں دوا کیاtirā be mudda.ā māñge duā kyāmaraz hai tandurustī meñ davā kyā
- تیرے قول و قرار کی باتیںکچھ نہیں اعتبار کی باتیںtere qaul-o-qarār kī bāteñkuchh nahīñ etibār kī bāteñ
- جب ترا انتظار ہوتا ہےدل بہت بے قرار ہوتا ہےjab tirā intizār hotā haidil bahut be qarār hotā hai
- جو حسن و عشق سے امن و اماں میں رہتے ہیںکہاں کے لوگ ہیں وہ کس جہاں میں رہتے ہیںjo husn-o-ishq se amn-o-amāñ meñ rahte haiñkahāñ ke log haiñ vo kis jahāñ meñ rahte haiñ
- چھٹی امید تو میں حال دل کہنے سے کیوں ڈرتامثل مشہور ہے سرکار مرتا کیا نہیں کرتاchhuṭṭī ummīd to maiñ hāl-e-dil kahne se kyūñ ḍartāmisl-e-mashhūr hai sarkār martā kyā nahīñ kartā
- چھوڑ ہر ایک کو برا کہناایسی صورت پہ تجھ کو کیا کہناchhoṛ har ek ko burā kahnāaisī sūrat pe tujh ko kyā kahnā
- خوب ہاتھوں ہاتھ بدلہ مل گیا بیداد کاآشیاں میرا جلا گھر جل گیا صیاد کاḳhūb hāthoñ hāth badla mil gayā bedād kāāshiyāñ merā jalā ghar jal gayā sayyād kā
- خوش ہوں یا دوست سے خفا ہوں میںآج کل کچھ نیا نیا ہوں میںḳhush hūñ yā dost se ḳhafā hūñ maiñāj kal kuchh nayā nayā hūñ maiñ
- دام خیال زلف بتاں سے چھڑا لیاکیا بال بال مجھ کو خدا نے بچا لیاdām-e-ḳhayāl-e-zulf-e-butāñ se chhuṛā liyākyā bāl bāl mujh ko ḳhudā ne bachā liyā
- درد فرقت کو کیا کرے کوئیہائے عادت کو کیا کرے کوئیdard-e-furqat ko kyā kare koīhā.e ādat ko kyā kare koī
- دل جب سے درد عشق کے قابل نہیں رہااک ناگوار چیز ہے اب دل نہیں رہاdil jab se dard-e-ishq ke qābil nahīñ rahāik nāgavār chīz hai ab dil nahīñ rahā
- دل عشق میں تباہ ہوا یا کہ جل گیااچھا ہوا خلش گئی کانٹا نکل گیاdil ishq meñ tabāh huā yā ke jal gayāachchhā huā ḳhalish ga.ī kānṭā nikal gayā
- دوست خوش ہوتے ہیں جب دوست کا غم دیکھتے ہیںکیسی دنیا ہے الٰہی جسے ہم دیکھتے ہیںdost ḳhush hote haiñ jab dost kā ġham dekhte haiñkaisī duniyā hai ilāhī jise ham dekhte haiñ
- رنج ہے اس رنج سے ہم کو تو غم اس غم سے ہےجو شکایت ہم کو ان سے ہے وہ ان کو ہم سے ہےranj hai is ranj se ham ko to ġham is ġham se haijo shikāyat ham ko un se hai vo un ko ham se hai
- سیر چمن ہے اور وہ گل رو کنار میںمیں بے پیے بھی مست ہوں اب کی بہار میںsair-e-chaman hai aur vo gul rū kanār meñmaiñ be piye bhī mast hūñ ab kī bahār meñ
- شب ہجر آہ کدھر گئی کہوں کس سے نالہ کدھر گیاجو گزر گئی وہ گزر گئی جو گزر گیا وہ گزر گیاshab-e-hijr āh kidhar ga.ī kahūñ kis se nāla kidhar gayājo guzar ga.ī vo guzar ga.ī jo guzar gayā vo guzar gayā
- شوق دربار میں ملتے رہے دربانوں سےہم نے آنکھوں سے نہ دیکھا جو سنا کانوں سےshauq darbār meñ milte rahe darbānoñ seham ne ānkhoñ se na dekhā jo sunā kānoñ se
- عشق الزام بھی تو ہوتا ہےیہ برا کام بھی تو ہوتا ہےishq ilzām bhī to hotā haiye burā kām bhī to hotā hai
- عشق ان سب سے الگ سب سے جدا ہوتا ہےچیخنے رونے تڑپ لینے سے کیا ہوتا ہےishq un sab se alag sab se judā hotā haichīḳhne rone taṛap lene se kyā hotā hai
- کچھ نہ پائی دل نے تسکیں اور کچھ پائی تو کیاایسی صورت سے تری صورت نظر آئی تو کیاkuchh na pā.ī dil ne taskīñ aur kuchh pā.ī to kyāaisī sūrat se tirī sūrat nazar ā.ī to kyā
- کسی دن تو ہمارا درد دل سوز جگر دیکھوکبھی تو بھول کر آؤ کبھی تو پوچھ کر دیکھوkisī din to hamārā dard-e-dil soz-e-jigar dekhokabhī to bhūl kar ā.o kabhī to pūchh kar dekho
- کیا ہو تسکین جو ہو تیری سکونت دل میںرہے آغوش میں یا پیار کی صورت دل میںkyā ho taskīn jo ho terī sukūnat dil meñrahe āġhosh meñ yā pyār kī sūrat dil meñ
- گھڑی بھر آج وہ مجھ سے رہا خوشخدا رکھے اسے اس سے سوا خوشghaṛī bhar āj vo mujh se rahā ḳhushḳhudā rakhe use us se sivā ḳhush
- نہ اپنے بس میں ہے رونا نہ ہائے ہنس دیناکوئی رلائے تو رونا ہنسائے ہنس دیناna apne bas meñ hai ronā na hā.e hañs denākoī rulā.e to ronā hañsā.e hañs denā
- نہ روتا زار زار ایسا نہ کرتا شور و شر اتناالٰہی کیا کروں درد جگر اتنا جگر اتناna rotā zār zār aisā na kartā shor-o-shar itnāilāhī kyā karūñ dard-e-jigar itnā jigar itnā
- وہ واقعات کسے یاد اک زمانہ ہواکسی نے کیا نہ کیا اور ہم پہ کیا نہ ہواvo vāqi.āt kise yād ik zamāna huākisī ne kyā na kiyā aur ham pe kyā na huā
- وہی ہوتا ہے جو محبوب کو منظور ہوتا ہےمحبت کرنے والا ہر طرح مجبور ہوتا ہےvahī hotā hai jo mahbūb ko manzūr hotā haimohabbat karne vālā har tarah majbūr hotā hai
- ہائے اس بے خود شباب کا رنگلال انگارہ سا شراب کا رنگhā.e us be ḳhud-e-shabāb kā ranglāl angāra sā sharāb kā rang
- یہ تو سچ ہے کہ صفیؔ کی نہیں نیت اچھیہاں مگر پائی ہے ظالم نے طبیعت اچھیye to sach hai ke safī kī nahīñ niyyat achchhīhāñ magar pā.ī hai zālim ne tabī.at achchhī