جب ترا انتظار ہوتا ہے
صفی اورنگ آبادیجب ترا انتظار ہوتا ہے
دل بہت بے قرار ہوتا ہے
دل پہ چلتا ہے اختیار ان کا
جب یہ بے اختیار ہوتا ہے
عشق ہوتا ہے حسن کا ہم سر
جب یہ خود اختیار ہوتا ہے
وہ مجھے بے قرار کرنے کو
پہلے خود بے قرار ہوتا ہے
حرص شہرت نہیں تو رونا کیوں
نالہ بھی اشتہار ہوتا ہے
دوست کہہ کر نہ دے فریب اے دوست
دوست پر اعتبار ہوتا ہے
نازنیں ہیں کب ایسے لوگ صفیؔ
جن کا احسان بار ہوتا ہے
jab tira intizar hota hai
dil bahut be qarar hota hai
dil pe chalta hai ikhtiyar un ka
jab ye be ikhtiyar hota hai
ishq hota hai husn ka ham sar
jab ye khud ikhtiyar hota hai
wo mujhe be qarar karne ko
pahle khud be qarar hota hai
hirs-e-shohrat nahin to rona kyun
nala bhi ishtihar hota hai
dost kah kar na de fareb ai dost
dost par etibar hota hai
naznin hain kab aise log safi
jin ka ehsan bar hota hai