Poet
Saadullah Shah
b. 1958
Poems
- ابر اترا ہے چار سو دیکھواب وہ نکھرے گا خوب رو دیکھوabr utrā hai chār sū dekhoab vo nikhregā ḳhūb rū dekho
- تم نے کیسا یہ رابطہ رکھانہ ملے ہو نہ فاصلہ رکھاtum ne kaisā ye rābta rakhāna mile ho na fāsla rakhā
- درد کو اشک بنانے کی ضرورت کیا تھیتھا جو اس دل میں دکھانے کی ضرورت کیا تھیdard ko ashk banāne kī zarūrat kiyā thīthā jo is dil meñ dikhāne kī zarūrat kiyā thī
- دشت کی پیاس بڑھانے کے لیے آئے تھےابر بھی آگ لگانے کے لیے آئے تھےdasht kī pyās baṛhāne ke liye ā.e theabr bhī āg lagāne ke liye ā.e the
- کسی بھی وہم کو خود پر سوار مت کرناخیال یار کو گرد و غبار مت کرناkisī bhī vahm ko ḳhud par savār mat karnāḳhayāl-e-yār ko gard-o-ġhubār mat karnā
- کیوں نہ ہم سوچ کے سانچے میں ہی ڈھل کر دیکھیںوہ جو قائم ہے تو پھر خود کو بدل کر دیکھیںkyūñ na ham soch ke sānche meñ hī ḍhal kar dekheñvo jo qā.im hai to phir ḳhud ko badal kar dekheñ
- موت اک درندہ ہے زندگی بلا سی ہےصبح بھی اداسی ہے شام بھی اداسی ہےmaut ik darinda hai zindagī balā sī haisub.h bhī udāsī hai shām bhī udāsī hai
- وقت تو وقت ہے رکتا نہیں اک پل کے لئےہو وہی بات جو قائم بھی رہے کل کے لئےvaqt to vaqt hai ruktā nahīñ ik pal ke liyeho vahī bāt jo qā.im bhī rahe kal ke liye
- وہ بھی بگڑا، ہوئی رسوائی بھیجان لیوا ہے شناسائی بھیvo bhī bigṛā, huī rusvā.ī bhījān levā hai shanāsā.ī bhī
- ہم کو خوش آیا ترا ہم سے خفا ہو جاناسر بسر خواب کا تعبیر نما ہو جاناham ko ḳhush āyā tirā ham se ḳhafā ho jānāsar basar ḳhvāb kā ta.abīr numā ho jānā
- ہم کہ چہرے پہ نہ لائے کبھی ویرانی کوکیا یہ کافی نہیں ظالم تری حیرانی کوham ke chehre pe na lā.e kabhī vīrānī kokyā ye kāfī nahīñ zālim tirī hairānī ko
- ہنسی کی بات کہ اس نے وہاں بلا کے مجھےبہت رلایا کہانی مری سنا کے مجھےhañsī kī bāt ke us ne vahāñ balā ke mujhebahut rulāyā kahānī mirī sunā ke mujhe
- یہ رات دن کا بدلنا نظر میں رہتا ہےہمارا ذہن مسلسل سفر میں رہتا ہےye rāt din kā badalnā nazar meñ rahtā haihamārā zehn musalsal safar meñ rahtā hai