یہ رات دن کا بدلنا نظر میں رہتا ہے
Saadullah Shah (b. 1958)یہ رات دن کا بدلنا نظر میں رہتا ہے
ہمارا ذہن مسلسل سفر میں رہتا ہے
نظر میں اس کی تو وسعت ہے آسمانوں کی
گو دیکھنے کو پرندہ شجر میں رہتا ہے
ہمارا نام وہ لے لے تو لوگ چونک اٹھیں
کہ فرد فرد ہمارے اثر میں رہتا ہے
شجر شجر جو ثمر ہے تو دیکھ خود کو بھی
جہان نو کا تصور ثمر میں رہتا ہے
ہر ایک بات کا بالکل یقین آیا مگر
ہمارا خوف تمہارے اگر میں رہتا ہے
تجھے گماں ہے کہ منزل پہ تو پہنچ بھی گیا
ہر ایک شخص یہاں رہ گزر میں رہتا ہے
اسے سکون ہے اس سے کہ ہم کو چین نہیں
بس اک جنون ہماری خبر میں رہتا ہے
نہیں ہے کچھ بھی وہ اے سعدؔ بس خیال سا ہے
مگر خیال کا سودا تو سر میں رہتا ہے
ye rat din ka badalna nazar mein rahta hai
hamara zehn musalsal safar mein rahta hai
nazar mein us ki to wusat hai asmanon ki
go dekhne ko parinda shajar mein rahta hai
hamara nam wo le le to log chaunk uthen
ke fard fard hamare asar mein rahta hai
shajar shajar jo samar hai to dekh khud ko bhi
jahan-e-nau ka tasawwur samar mein rahta hai
har ek bat ka bilkul yaqin aya magar
hamara khauf tumhare agar main rahta hai
tujhe guman hai ke manzil pe to pahunch bhi gaya
har ek shakhs yahan rah guzar mein rahta hai
use sukun hai us se ke ham ko chain nahin
bas ik junun hamari khabar mein rahta hai
nahin hai kuchh bhi wo ai saad bas khayal sa hai
magar khayal ka sauda to sar mein rahta hai