ہنسی کی بات کہ اس نے وہاں بلا کے مجھے
Saadullah Shah (b. 1958)ہنسی کی بات کہ اس نے وہاں بلا کے مجھے
بہت رلایا کہانی مری سنا کے مجھے
ہر ایک لمحہ مرا خوف کی گرفت میں ہے
محافظوں سے بچائے گا کون آ کے مجھے
کمال فن سے لیا کام اس نے مجھ سے بھی
تباہ اپنے عدو کو کیا بچا کے مجھے
وہ باغ باغ ہوا ہے تو بے سبب بھی نہیں
ملا ہے کچھ تو اسے خاک میں ملا کے مجھے
تمہیں خبر ہے کہ سر پر پڑے گی راکھ ترے
اڑا دیا ہے فضا میں جو یوں جلا کے مجھے
اسے بنایا تھا میں نے بڑی ہی محنت سے
خدا گواہ کہ وہ بھی چلا بنا کے مجھے
اسے کہو کہ ہیں حاضر مزید دکھ دے لے
بہت سکون ملا ہے اگر ستا کے مجھے
hansi ki bat ke us ne wahan bala ke mujhe
bahut rulaya kahani miri suna ke mujhe
har ek lamha mira khauf ki giraft mein hai
muhafizon se bachaega kaun a ke mujhe
kamal-e-fan se liya kam us ne mujh se bhi
tabah apne adu ko kiya bacha ke mujhe
wo bagh bagh hua hai to be sabab bhi nahin
mila hai kuchh to use khak mein mila ke mujhe
tumhen khabar hai ke sar par paregi rakh tire
ura diya hai faza mein jo yun jala ke mujhe
use banaya tha main ne bari hi mehnat se
khuda gawah ke wo bhi chala bana ke mujhe
use kaho ke hain hazir mazid dukh de le
bahut sukun mila hai agar sata ke mujhe