Poet
Saadat Aabidi
Poems
- اس طرح دنیا کے دل میں گھر بنااپنی طرز گفتگو بہتر بناis tarah duniyā ke dil meñ ghar banāapnī tarz-e-guftugū behtar banā
- انجام ہی کو اس کے نہ سمجھا نہ تو نہ میںورنہ یہ خواہشات بڑھاتا نہ تو نہ میںanjām hī ko us ke na samjhā na to na maiñvarna ye ḳhvāhishāt baṛhātā na to na maiñ
- تو ہے آب زندگی تو ہے شباب زندگیتجھ سے ہی سب کیف ہے تو ہے شراب زندگیtū hai āb-e-zindagī to hai shabāb-e-zindagītujh se hī sab kaif hai to hai sharāb-e-zindagī
- چلی جانا ہے ساری آب و تاب آہستہ آہستہکہ جیسے ختم ہوتی ہے کتاب آہستہ آہستہchalī jānā hai sārī āb-o-tāb āhista āhistake jaise ḳhatm hotī hai kitāb-e-āhista āhista
- زندگی کی کیفیت اب یہ ہے خاص و عام کیصبح کو ہوتی ہے جو حالت چراغ شام کیzindagī kī kaifiyat ab ye hai ḳhās-o-ām kīsub.h ko hotī hai jo hālat charāġh-e-shām kī
- سازش میں میرے قتل کی وہ مبتلا تو ہےمجھ کو خوشی یہ ہے وہ مجھے سوچتا تو ہےsāzish meñ mere qatl kī vo mubtalā to haimujh ko ḳhushī ye hai vo mujhe sochtā to hai
- فضا ایسی بہ فیض باغباں معلوم ہوتی ہےبہار گلستاں مثل خزاں معلوم ہوتی ہےfazā aisī ba faiz-e-bāġhbāñ ma.alūm hotī haibahār-e-gulsitāñ misl-e-ḳhizāñ ma.alūm hotī hai
- گھل جائے جس میں رنگ وہ پانی نہیں ہوں میںاپنی انا کا دشمن جانی نہیں ہوں میںghul jā.e jis meñ rang vo pānī nahīñ hūñ maiñapnī anā kā dushman-e-jānī nahīñ hūñ maiñ
- یکساں سبھی کا حال نہیں ہے تو کیوں نہیںتجھ کو جو یہ خیال نہیں ہے تو کیوں نہیںyaksāñ sabhī kā hāl nahīñ hai to kyūñ nahīñtujh ko jo ye ḳhayāl nahīñ hai to kyūñ nahīñ
- یہ بھوکے لوگ جس دن گھر سے سڑکوں پر نکل آئےکرو گے کیا اگر ان بے پروں کے پر نکل آئےye bhūke log jis din ghar se saṛkoñ par nikal ā.ekaroge kyā agar un be paroñ ke par nikal ā.e