Poet
Rafia Shabnam Abidi
b. 1943
Poems
- ابر چھایا تھا فضاؤں میں تری باتوں کاکتنا دل کش تھا وہ منظر بھری برساتوں کاabr chhāyā thā fazā.oñ meñ tirī bātoñ kākitnā dil kash thā vo manzar bharī barsātoñ kā
- ایک اک کر کے سبھی لوگ بچھڑ جاتے ہیںدل کے جنگل یوں ہی بستے ہیں اجڑ جاتے ہیںek ik kar ke sabhī log bichhaṛ jāte haiñdil ke jangal yūñ hī baste haiñ ujaṛ jāte haiñ
- بدلتی رت پہ ہواؤں کے سخت پہرے تھےلہو لہو تھی نظر داغ داغ چہرے تھےbadaltī rut pe havā.oñ ke saḳht pahre thelahū lahū thī nazar dāġh dāġh chehre the
- بسنتی رت ہے سب پھولوں کو تو محفوظ رکھنامیرے اللہ کھلی سرسوں کو تو محفوظ رکھناbasantī rut hai sab phūloñ ko to mahfūz rakhnāmere allāh khulī sarsoñ ko to mahfūz rakhnā
- بھول جاتے ہیں تقدس کے حسیں پل کتنےلوگ جذبات میں ہو جاتے ہیں پاگل کتنےbhūl jāte haiñ taqaddus ke hasīñ pal kitnelog jazbāt meñ ho jāte haiñ pāgal kitne
- جاڑوں بھر کیوں میرے آنگن میں سایہ تھاسورج نے کس چھت پر خیمہ لگوایا تھاjāṛoñ bhar kyūñ mere āngan meñ sāya thāsūraj ne kis chhat par ḳhema lagvāyā thā
- جس کی خاطر عمر گنوائی اک دنیا کو بھولی میںجی کہتا تھا اس سے کہہ دوں لیکن کیسے کہتی میںjis kī ḳhātir umr gañvā.ī ik duniyā ko bhūlī meñjī kahtā thā us se kah dūñ lekin kaise kahtī meñ
- خود فریبی ہے دغا بازی ہے عیاری ہےآج کے دور میں جینا بھی اداکاری ہےḳhud farebī hai daġhā bāzī hai ayyārī haiāj ke daur meñ jīnā bhī adākārī hai
- ذات کے کرب کو لفظوں میں دبائے رکھامیز پر تیری کتابوں کو سجائے رکھاzāt ke karb ko lafzoñ meñ dabā.e rakhāmez par terī kitāboñ ko sajā.e rakhā
- روز اٹھتا ہے دھواں کوہ ندا کے اس پارچاند چپ چاپ سلگتا ہے فضا کے اس پارroz uṭhtā hai dhuāñ koh-e-nidā ke us pārchānd chup chāp sulagtā hai fazā ke us pār
- گھرے ہیں چاروں طرف بیکسی کے بادل پھرسلگ رہا ہے ستاروں بھرا اک آنچل پھرghire haiñ chāroñ taraf bekasī ke bādal phirsulag rahā hai sitāroñ bharā ik ānchal phir
- مئی کا آگ لگاتا ہوا مہینہ تھاگھٹا نے مجھ سے مرا آفتاب چھینا تھاma.ī kā āg lagātā huā mahīna thāghaṭā ne mujh se mirā āftāb chhīnā thā
- نارسائی کا چلو جشن منائیں ہم لوگشاید اس طرح سے کچھ کھوئیں تو پائیں ہم لوگnārasā.ī kā chalo jashn manā.eñ ham logshāyad is tarah se kuchh khoeñ to pā.eñ ham log
- وہ تیری یاد کے لمحے ترے خیال کے دنعلاج درد کے زخموں کے اندمال کے دنvo terī yād ke lamhe tire ḳhayāl ke dinilāj-e-dard ke zaḳhmoñ ke indimāl ke din
- ہوائیں بے عناں ہیں آج گھر سے دور مت جاؤ کہا تھا نااگر جاؤ چلے جانا مگر جلدی ہی لوٹ آؤ کہا تھا ناhavā.eñ be ināñ haiñ āj ghar se dūr mat jā.o kahā thā nāagar jā.o chale jānā magar jaldī hī lauṭ ā.o kahā thā nā