Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Qaisarul Jafri

1926–2005

Poems

  1. bahār ā.egī phūṭegī shāḳh se konpalshikast barg-e-ḳhizāñ se yaqīn hotā hai
  2. jahāñ bhī ḳhūn ṭapaktā hai sarfaroshoñ kābuland ho ke vo dhartī gagan se miltī hai
  3. chitā ko jab tirā ṭhanḍā badan saunpā gayā hogāsharāre khul ga.e hoñge dhuāñ lahrā gayā hogā
  4. ḳhāk par gir ke lahū kaun-o-makāñ tak pahuñchāraushnī ban ke mah-o-kāhkashāñ tak pahuñchā
  5. ḳhush āmdīd kahūñ kyā ye shab azāb kī haiyahāñ milī ho jo manzil shikast-e-ḳhvāb kī
  6. dāman-e-dil pe ġhubār-e-rah-e-manzil hai abhīpā.e afkār meñ derīna salāsil hai abhī
  7. dar-o-dīvār pe hijrat ke nishāñ dekh ā.eñā.o ham apne buzurgoñ ke makāñ dekh ā.eñ
  8. zindagī to mujhe kis moṛ pe le ā.ī haiḳhvāb khulte the jahāñ barf vahāñ chhā.ī hai
  9. mere ghar meñ jhaunj banā.e goriyā kā joṛāchonch meñ le kar ā.e jā.e bhūsah thoṛā thoṛā
  10. mere māzī kā koī zaḳhm mire pās nahīñjis se jo chīz milī thī use pher āyā hūñ
  11. maiñ apnī zindagī se ek lamhe kā savālī hūñvo lamha jo mire naġhmoñ ko chhū kar jāvedāñ kar de
  12. maiñ jab bhī tere ghar ke pās se ho kar guzartā hūñmujhe khoī huī ra.anā.iyāñ āvāz detī haiñ
  13. na jāne zindagī kahāñ ṭhahar ga.īye fasl-e-intizār bhī guzar ga.ī
  14. havā ke dosh par uṛte hue ye ajnabī lamhekahīñ aisā na ho parchhā.iyāñ de kar guzar jā.eñ
  15. ye rāt mashal armāñ jalāne ā.ī haimagar nazar meñ andherā sā chhā rahā hai kyūñ
  16. ye surḳh jang jo barpā huī hai sarhad parye tez āg jo phailī hai kohsāroñ meñ
  17. ye kaun log sar-e-maikada pahuñch ā.echhalak rahā hai lahū hī lahū ayāġhoñ se
  18. tum ā ga.e ho ḳhudā kā subūt hai ye bhīqasam ḳhudā kī abhī maiñ ne tum ko sochā thā
  19. rāstā dekh ke chal varna ye din aise haiñgūnge patthar bhī savālāt kareñge tujh se
  20. ghar lauṭ ke roeñge māñ bāp akele meñmiṭṭī ke khilaune bhī saste na the mele meñ
  21. musāfir chalte chalte thak ga.e manzil nahīñ miltīqadam ke sāth baṛhtā jā rahā ho fāsla jaise