Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

مرزا مائل دہلوی

Poems

Meter
  1. āp kyā ek sitam gār bane baiṭhe haiñġhair bhī to mire ġham ḳhvār bane baiṭhe haiñ
  2. ashk-e-gulgūñ ko na ḳhūn-e-shuhadā ko dekhāshoḳh jaisā ke tire rang-e-hinā ko dekhā
  3. aisī kyā thīñ itāb kī bāteñmaiñ to kahtā thā ḳhvāb kī bāteñ
  4. ai sitam gar nahīñ dekhā jātāzaḳhm-e-dil par nahīñ dekhā jātā
  5. bāteñ haiñ vā.izoñ kī azāb-o-savāb kyādo din kī zindagī meñ hisāb-o-kitāb kyā
  6. ban ban ke bigaṛ jā.egī tadbīr kahāñ takchakkar meñ rakhegī mujhe taqdīr kahāñ tak
  7. phir ā ga.ī ik but pe tabī.at ko huā kyāṭaltī hī nahīñ sar se musībat ko huā kyā
  8. tum ḳhūb uṛāte raho ḳhāka mire dil kāpaidā nahīñ dushman koī tum sā mire dil kā
  9. tum le ke apne hāth meñ ḳhanjar na dekhnāaur dekhnā to tan pe mire sar na dekhnā
  10. ḍūbā huā uṭhūñ dam-e-mahshar sharāb meñde deñ kafan jo yār ḍubo kar sharāb meñ
  11. shukr us ne kiyā lab pe magar nām na āyāmarnā bhī mirā hā.e mire kām na āyā
  12. kis muñh se karūñ maiñ tan uryāñ kī shikāyatdāmāñ kī shikāyat na garebāñ kī shikāyat
  13. na ho shabāb to kaifiyat-e-sharāb kahāñna ho shabāb to kaifiyat-e-shabāb kahāñ