Poet
محمود رامپوری
Poems
- جور کب تک سہا کرے کوئیصبر کب تک کیا کرے کوئیjaur kab tak sahā kare koīsabr kab tak kyā kare koī
- جہاں نہ دوست نہ گلچیں نہ باغباں میراپھر اس چمن میں رہے کیونکر آشیاں میراjahāñ na dost na gulchīñ na bāġhbāñ merāphir is chaman meñ rahe kyūñkar āshiyāñ merā
- خدا کی شان ہے ان میں اگر مہر و وفا ہوتیتو پھر یہ بت جدھر ہوتے ادھر خلق خدا ہوتیḳhudā kī shān hai un meñ agar mehr-o-vafā hotīto phir ye but jidhar hote idhar ḳhalq-e-ḳhudā hotī
- دل سوز غم سے جلتا ہے لب پر فغاں نہیںیہ آگ بھی نئی ہے کہ جس میں دھواں نہیںdil soz-e-ġham se jaltā hai lab par fuġhāñ nahīñye āg bhī na.ī hai ke jis meñ dhuāñ nahīñ
- ظاہر فریب نرگس مستانہ ہو گیاکچھ ہوشیار اب دل دیوانہ ہو گیاzāhir fareb-e-nargis-e-mastāna ho gayākuchh hoshyār ab dil-e-dīvāna ho gayā
- غم فرقت سہا نہیں جاتاروز مر کر جیا نہیں جاتاġham-e-furqat sahā nahīñ jātāroz mar kar jiyā nahīñ jātā
- مانا کہ سخت ہوتی ہے تیر و تبر کی چوٹلیکن بری بلا ہے کسی کی نظر کی چوٹmānā ke saḳht hotī hai tīr-o-tabar kī choṭlekin burī balā hai kisī kī nazar kī choṭ
- مجھے پہلے تم اک نظر دیکھ لیناجدھر چاہے جی پھر ادھر دیکھ لیناmujhe pahle tum ik nazar dekh lenājidhar chāhe jī phir idhar dekh lenā
- نیک و بد عشق میں جو ہے مری تقدیر میں ہےآپ وہ کیجئے جو آپ کی تدبیر میں ہےnek-o-bad ishq meñ jo hai mirī taqdīr meñ haiāp vo kījiye jo āp kī tadbīr meñ hai
- وہ بھی کیا دن تھے کہ الفت کا سبق یاد نہ تھادرد ہمدرد نہ تھا غم مرا ہم زاد نہ تھاvo bhī kyā din the ke ulfat kā sabaq yād na thādard hamdard na thā ġham mirā ham zād na thā
- یہ سچ ہے ہر جگہ تم جلوہ گر ہووہ دیکھے جس کی آنکھیں ہوں نظر ہوye sach hai har jagah tum jalva gar hovo dekhe jis kī ānkheñ hūñ nazar ho