Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Jabbar Wasif

b. 1975

Poems

Meter
  1. unheñ ḳhabar hai unheñ mujh se kām koī nahīñso in ġhulāmoñ meñ merā ġhulām koī nahīñ
  2. tamām shahr to be mehr nīnd so rahā thāmagar maiñ ānkhoñ meñ nok-e-qalam chubho rahā thā
  3. jabr ne jab mujhe rusvā sar-e-bāzār kiyāsabr ne mere mujhe sāhab-e-dastār kiyā
  4. jo nabātāt-o-jamādāt pe shak karte haiñai ḳhudā tere kamālāt pe shak karte haiñ
  5. dar shāmil ho aur dīvār mulavvis hoya.anī yār kī hār meñ yār mulavvis ho
  6. dayār-e-dard se āyā huā nahīñ lagtāmaiñ ahl-e-dil ko satāyā huā nahīñ lagtā
  7. soch līje kyūñ azāb āyā thā qaum-e-hod paraur phir kuchh ġhaur kīje lamha-e-maujūd par
  8. sub.h ke bāra baje rāt kā matlab samjhekoī ai kāsh mirī bāt kā matlab samjhe
  9. ajīb ḳhvāb thā ham bāġh meñ khaṛe hue thehamāre sāmne phūloñ ke sar paṛe hue the
  10. kabhī zamīn kabhī āsmāñ se laṛtā haiajīb shaḳhs hai sāre jahāñ se laṛtā hai
  11. koī haijān us ko kahtā hai koī vijdān us ko kahtā haikoī kahtā hai shāyarī hai abas koī imkān us ko kahtā hai
  12. mujhe koī aisī ġhazal sunā ke maiñ ro paṛūñzarā jai jai vantī ke sar lagā ke maiñ ro paṛūñ
  13. mirī ġhazal se ġhazal kī mahfil sajāne vālā koī na hogāye bāt tai hai ke merī barsī manāne vālā koī na hogā
  14. maiñ jāntā hūñ agar maut darmiyān na hoḳhudā ke nām kī ka.abe meñ bhī azān na ho
  15. maiñ vaqt kī āb jū se āge nikal gayā hūñso dahr kī hā-o-ho se āge nikal gayā hūñ
  16. na ye sahīfoñ kā masala hai na ye aqīdoñ kā masala haiye masala hai vahī jo karbal ke sab shahīdoñ kā masala hai
  17. vahī musāfir masāfrat kā mujhe qarīna sikhā rahā thājo apnī chhāgal se apne ghoṛe ko āp pānī pilā rahā thā