در شامل ہو اور دیوار ملوث ہو
Jabbar Wasif (b. 1975)در شامل ہو اور دیوار ملوث ہو
یعنی یار کی ہار میں یار ملوث ہو
اس چوری سے بچنا مشکل ہوتا ہے
جس چوری میں چوکیدار ملوث ہو
ٹیپو سا سلطان بھی جیت نہیں سکتا
غدر میں جب کوئی غدار ملوث ہو
سوچیے پھر انجام قبیلے والوں کا
جب سازش میں خود سردار ملوث ہو
لشکر کا پھر پسپا ہونا بنتا ہے
پسپائی میں جب سالار ملوث ہو
اس اس جرم کی فائل مخفی رہتی ہے
جس جس میں خفیہ کردار ملوث ہو
عدل کے کاروبار کو کوئی کیا روکے
جب اس میں ساری سرکار ملوث ہو
ظاہر میں قاضی تعزیر لگائے اور
در پردہ شاہی دربار ملوث ہو
دوست ہمارے دوست ہیں پر کیا لازم ہے
قتل میں دشمن ہی ہر بار ملوث ہو
ممکن ہے اس پار کا ہاتھ نہ ہو اس بار
ممکن ہے کوئی اس پار ملوث ہو
واصفؔ خواہش ہے کہ بستی ہو بیدار
اور بیداری میں جبارؔ ملوث ہو
dar shamil ho aur diwar mulawwis ho
yaani yar ki har mein yar mulawwis ho
is chori se bachna mushkil hota hai
jis chori mein chaukidar mulawwis ho
tipo sa sultan bhi jit nahin sakta
ghadr mein jab koi ghaddar mulawwis ho
sochiye phir anjam qabile walon ka
jab sazish mein khud sardar mulawwis ho
lashkar ka phir paspa hona banta hai
paspai mein jab salar mulawwis ho
is is jurm ki fail makhfi rahti hai
jis jis mein khufya kirdar mulawwis ho
adl ke karobar ko koi kya roke
jab is mein sari sarkar mulawwis ho
zahir mein qazi taazir lagae aur
dar parda shahi darbar mulawwis ho
dost hamare dost hain par kya lazim hai
qatl mein dushman hi har bar mulawwis ho
mumkin hai us par ka hath na ho is bar
mumkin hai koi us par mulawwis ho
wasaf khwahish hai ke basti ho bedar
aur bedari mein jabbar mulawwis ho