Poet
Hadi Machlishahri
ہادی مچھلی شہری1890–1961
Poems
- اٹھنے کو تو اٹھا ہوں محفل سے تری لیکناب دل کو یہ دھڑکا ہے جاؤں تو کدھر جاؤںuṭhne ko to uṭhā hūñ mahfil se tirī lekinab dil ko ye dhaṛkā hai jā.ūñ to kidhar jā.ūñ
- اس بے وفا کی بزم سے چشم خیال میںاک خواب آرزو کا لیے جا رہا ہوں میںus be vafā kī bazm se chashm-e-ḳhayāl meñik ḳhvāb ārzū kā liye jā rahā hūñ maiñ
- اشک غم عقدہ کشائے خلش جاں نکلاجس کو دشوار میں سمجھا تھا وہ آساں نکلاashk-e-ġham uqda kushā-e-ḳhalish-e-jāñ niklājis ko dushvār meñ samjhā thā vo āsāñ niklā
- تم عزیز اور تمہارا غم بھی عزیزکس سے کس کا گلا کرے کوئیtum azīz aur tumhārā ġham bhī azīzkis se kis kā gilā kare koī
- تمہیں بھی معلوم ہو حقیقت کچھ اپنی رنگیں ادائیوں کیکبھی اسے چھیڑ کر تو دیکھو جو لے مرے دل کی ساز میں ہےtumheñ bhī ma.alūm ho haqīqat kuchh apnī rangīñ adā.iyoñ kīkabhī use chheṛ kar to dekho jo le mire dil kī sāz meñ hai
- تو نہ ہو ہم نفس اگر جینے کا لطف ہی نہیںجس میں نہ تو شریک ہو موت ہے زندگی نہیںtū na ho ham nafas agar jīne kā lutf hī nahīñjis meñ na to sharīk ho maut hai zindagī nahīñ
- درد سا اٹھ کے نہ رہ جائے کہیں دل کے قریبمیری کشتی نہ کہیں غرق ہو ساحل کے قریبdard sā uṭh ke na rah jā.e kahīñ dil ke qarībmerī kashtī na kahīñ ġharq ho sāhil ke qarīb
- دیکھ کر شمع کے آغوش میں پروانے کودل نے بھی چھیڑ دیا شوق کے افسانے کوdekh kar sham.a ke āġhosh meñ parvāne kodil ne bhī chheṛ diyā shauq ke afsāne ko
- زباں پہ حرف شکایت ارے معاذ اللہمجھے ترے ستم صبر آزما کی قسمzabāñ pe harf-e-shikāyat are ma.āz allāhmujhe tire sitam-e-sabr āzmā kī qasam
- کھویا ہوا سا رہتا ہوں اکثر میں عشق میںیا یوں کہو کہ ہوش میں آنے لگا ہوں میںkhoyā huā sā rahtā hūñ aksar maiñ ishq meñyā yūñ kaho ke hosh meñ āne lagā hūñ maiñ
- محو کمال آرزو مجھ کو بنا کے بھول جااپنے حریم ناز کا پردہ اٹھا کے بھول جاmahv-e-kamāl-e-ārzū mujh ko banā ke bhūl jāapne harīm-e-nāz kā parda uṭhā ke bhūl jā
- میں کیا ہوں کون ہوں یہ بھی خبر نہیں مجھ کووہ اس طرح مری ہستی پہ چھائے جاتے ہیںmaiñ kyā hūñ kaun hūñ ye bhī ḳhabar nahīñ mujh kovo is tarah mirī hastī pe chhā.e jāte haiñ
- نظام طبیعت سے گھبرا گیا دلطبیعت کی اب برہمی چاہتا ہوںnizām-e-tabī.at se ghabrā gayā diltabī.at kī ab bar.hamī chāhtā hūñ
- وہ کون ہے جو یہاں شادماں نہیں ملتاتری گلی میں کہیں آسماں نہیں ملتاvo kaun hai jo yahāñ shādmāñ nahīñ miltātirī galī meñ kahīñ āsmāñ nahīñ miltā
- ہزار خاک کے ذروں میں مل گیا ہوں میںمآل شوق ہوں آئینہ وفا ہوں میںhazār ḳhāk ke zarroñ meñ mil gayā hūñ maiñmaāl-e-shauq hūñ ā.īna vafā hūñ maiñ
- اس نے اس انداز سے دیکھا مجھےزندگی بھر کا گلہ جاتا رہاus ne is andāz se dekhā mujhezindagī bhar kā gila jātā rahā