Poet
George Puech Shor
جارج پیش شور1823–1894
Poems
- پیک خیال بھی ہے عجب کیا جہاں نماآیا نظر وہ پاس جو اپنے سے دور تھاpīk-e-ḳhayāl bhī hai ajab kyā jahāñ numāāyā nazar vo pās jo apne se dūr thā
- رکے ہے آمد و شد میں نفس نہیں چلتایہی ہے حکم الٰہی تو بس نہیں چلتاruke hai āmad-o-shud meñ nafas nahīñ chaltāyahī hai hukm ilāhī to bas nahīñ chaltā
- یہ فرق جیتے ہی جی تک گدا و شاہ میں ہےوگرنہ بعد فنا مشت خاک راہ میں ہےye farq jīte hī jī tak gadā-o-shāh meñ haivagarna ba.ad-e-fanā musht-e-ḳhāk-e-rāh meñ hai
- پیری میں خاک زندگانی کا مزہدانے کا ہے لطف اور نہ پانی کا مزہpīrī meñ ḳhāk zindagānī kā mazadāne kā hai lutf aur na pānī kā maza
- جب تک ہے شباب سازگار دولتہر قصر میں سو نقش و نگار دولتjab tak hai shabāb sāzgār daulathar qasr meñ so naqsh-o-nigār daulat
- دولت نے معاونت جو کی تو کیا کیطالع نے مساعدت جو کی تو کیا کیdaulat ne muāvanat jo kī to kyā kītāle ne musā.idat jo kī to kyā kī
- کچھ تیرا ثمر نہ اے جوانی پایاسرما زدہ باغ زندگانی پایاkuchh terā samar na ai javānī pāyāsarmā zada bāġh zindagānī pāyā
- کچھ کام نہیں گبرو مسلماں سے ہمیںہے کفر سے کچھ بحث نہ ایماں سے ہمیںkuchh kām nahīñ gabro musalmāñ se hameñhai kufr se kuchh bahs na īmāñ se hameñ
- کعبہ میں تو صدق اور صفا کو پایابت خانے میں ناز اور ادا کو پایاka.aba meñ to sidq aur safā ko pāyābut ḳhāne meñ nāz aur adā ko pāyā
- کیا وصف لکھوں زلف سیہ کی لٹ کاہر پیچ میں اک دل کو لیا ہے لٹکاkyā vasf likhūñ zulf-e-siyah kī luṭ kāhar pech meñ ik dil ko liyā hai laṭkā
- گرجا میں گئے تو پارسائی دیکھیاور دیر میں جا کے خود نمائی دیکھیgarjā meñ ga.e to pārsā.ī dekhīaur der meñ jā ke ḳhud numā.ī dekhī
- اسی خیال میں دن رات میں تڑپتا ہوںتمہیں قرار بھی دو گے جو بے قرار کیاisī ḳhayāl meñ din rāt meñ taṛaptā hūñtumheñ qarār bhī doge jo be qarār kiyā
- اک خیال و خواب ہے اے شورؔ یہ بزم جہاںیار اور جام و سبو سب کچھ ہے اور پھر کچھ نہیںik ḳhayāl-o-ḳhvāb hai ai shor ye bazm-e-jahāñyār aur jām-o-subū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñ
- اک نظر نے کیا ہے کام تمامآرزو بھی تو تھی یہی دل کیik nazar ne kiyā hai kām tamāmārzū bhī to thī yahī dil kī
- تمہارے عشق میں کیا کیا نہ اختیار کیاکبھی فلک کا کبھی غیر کا وقار کیاtumhāre ishq meñ kyā kyā na iḳhtiyār kyākabhī falak kā kabhī ġhair kā vaqār kyā
- جان پر اپنی ہائے کیوں بنتیبات جو مانتے کبھی دل کیjān par apnī hā.e kyūñ bantībāt jo mānte kabhī dil kī
- جب جوانی گئی چھڑا کر ہاتھاس پہ پیری نہ کچھ چلی دل کیjab javānī ga.ī chhuṛā kar hāthus pe pīrī na kuchh chalī dil kī
- جہاں میں زر کا ہے کارخانہ نہ کوئی اپنا نہ ہے یگانہتلاش دولت میں ہے زمانہ خدا ہی حافظ ہے مفلسی کاjahāñ meñ zar kā hai kārḳhāna na koī apnā na hai yagānatalāsh daulat meñ hai zamāna ḳhudā hī hāfiz hai muflisī kā
- دل میں اپنے آرزو سب کچھ ہے اور پھر کچھ نہیںدو جہاں کی جستجو سب کچھ ہے اور پھر کچھ نہیںdil maiñ apne ārzū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñdo jahāñ kī justujū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñ
- دور ہم سے ہیں وہ تو کیا ڈر ہےپاس ہے اپنے آرسی دل کیdūr ham se haiñ vo to kyā ḍar haipās hai apne ārsī dil kī
- شوق نے کی جو رہبری دل کیمنزل عشق طے ہوئی دل کیshauq ne kī jo rahbarī dil kīmanzil-e-ishq tai huī dil kī
- عدم سے ہستی میں جب ہم آئے نہ کوئی ہمدرد ساتھ لائےجو اپنے تھے وہ ہوئے پرائے اب آسرا ہے تو بیکسی کاadam se hastī meñ jab ham ā.e na koī hamdard sāth lā.ejo apne the vo hue parā.e ab āsrā hai to bekasī kā
- ہے تلاش دو جہاں لیکن خبر اپنی کسےجیتے جی تک جستجو سب کچھ ہے اور پھر کچھ نہیںhai talāsh do jahāñ lekin ḳhabar apnī kisejīte jī tak justujū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñ