Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Gauhar Usmani

1924–2004

Poems

Meter
  1. ab salībeñ shāhrāhoñ par sajā dī jā.eñgīaks rah jā.eñge tasvīreñ haṭā dī jā.eñgī
  2. bajuz ḳhayāl-e-ġham-e-mohabbat koī mirā ham safar nahīñ haimaiñ ab vahāñ se guzar rahā hūñ jahāñ kisī kā guzar nahīñ hai
  3. tirā husn hai vo sahbā ke koī misāl kyā dekabhī tishnagī bujhā de kabhī tishnagī baṛhā de
  4. terī tasvīr ko dhundlā nahīñ hone deñgezindagī ham tujhe rusvā nahīñ hone deñge
  5. haqīqatoñ se kabhī inhirāf mat kījequsūr jis kā ho us ko muāf mat kīje
  6. ḳhvāb tere haiñ ye ḳhvāboñ kā nagar terā haizikr anfās meñ har shām-o-sahar terā hai
  7. dil meñ rahnā kabhī ḳhvāboñ ke nagar meñ rahnātum jahāñ rahnā mohabbat ke safar meñ rahnā
  8. ruḳh se fitrat ke hijābāt uṭhā detā haiā.īna ṭūṭ ke patthar ko sadā detā hai
  9. ġham dete haiñ to iztirāb na dezindagī de magar azāb na de
  10. kabhī shādmāñ kabhī par alam tumheñ yād ho ke na yād hovo karam ke rūp meñ ik sitam tumheñ yād ho ke na yād ho
  11. kabhī shuūr kabhī dil kabhī suḳhan mahkekaho vo sher ke duniyā-e-fikr-o-fan mahke
  12. mizāj-e-mustaqil denā shuūr-e-motabar denājhukā pā.e na jis ko vaqt kā tūfāñ vo sar denā
  13. yā rab dil-o-nazar pe musallat kabhī na hovo be ḳhudī ke jis meñ shuūr-e-ḳhudī na ho